Remove URL From Google -Google Se URL Remove Keise Kare

Hello Visitor, aap sabhi ka ek baar fir se swagat hai meri aaj ki post me. Aap meri ye post pad rahe hai iska matlab hai ki aap bhi Blogging karte hai. Jab hum new blogger hote hai to hume blogging ke baare me jyaada kuchh knowledge nahi hota hai. Isliye hum kuchh galati bhi kar dete hai. Meine apni pichhli post me bataya tha ki aap apne blog ko search console me verify keise kar sakte hai. Aaj me bataunga ki aap Google Se URL Remove kyo aur keise kare. To chaliye shuru karte hai Remove URL From Google.

Jab blogger par blogging karte hai to uska sitemap .XML format me hone ke karan humare blog ka har link google me index ho jata hai. Ese me aapki author Detail ka sitemap bhi submit ho jata hai. Ho sakta hai ki aapne koi post publish karne ke baad use delete kar di ho lekin aapke delete karne se pahle hi wo Google me Index ho gayi hai. Ese me jab koi is Link ko open karega to 404 show hoga. Iska sabse jyada negetive effect padhta hai site par aane wale visitor par.

● blog ko feedburner me register keise kare

● ek professional blog keise banaye

● net banking account keise banaye

Ab jab aapki site par jyada 404 error honge to AdSense bhi ise pasand nahi karta hai aur aapka account ban hone ke chances bad jate hai. Ese me aapko apne blog me broken link nahi rakhne chahiye. Ho sake to unhe time to time fix karte rahe. Agar aapse bhi galti Se koi link 404 show kar raha hai to aap use google se hata bhi sakte hai. Agar kisi reason se apna blog delete karna padhe to url ko remove karne ke baad hi delete kare warna baad me kaafi problem ho sakti hai.

● AdSense account keise banaye

Remove URL From Google

Step-1

Google se URL Remove karne ke liye sabse pahle aap search console me jaye.

Step-2

Iske baad aap Dashboard me search index me jakar Remove URL par click kare.Remove URL Dashboard

Step-3

Iske baad aap temprerry hide par click kare. Ab aap jis URL ko remove karna chahte hai uska link is box me paste karke continue par click kar de.Remove URL enter URL

● youtube channal keise banaye aur verify kare

● music website keise banayi jati hai

Step-4

Ab agli screen me temprerry hide from Google with cache wale option par click karke submit kar de.Remove URL temprerry hode

Step-5

Submit karne ke baad aapki URL pending show hogi. Ab aapko kuchh nahi karna hai. 5-6 hours ke baad aapki URL Remove ho jayegi.Remove URL submit

● kisi bhi software ki serial key Download kare

● Mobile me Live TV keise dekhe free me

Last Word

Blog ki security ke liye bhi ye jaruri hai ki kuchh URL ko submit na kre. Yahi aapke liye achha hoga. Author ki sabhi URL submit hone se uski security se related sabhi link show hone lagte hai. Agar aapke blog me bhi kuchh ese link hai to unhen remove kare. I hope meri ye post padhkar aapko fayda hoga. Aapko meri ye post Remove URL From Google kesi lagi mujhe jarur bataye aur mere saath jude rahe. Aap yaha Click karke mere facebook page ko like kar sakte hai. Agar aap twitter ka use karte hai to yaha click karke mujhe follow kar sakte hai.

1 thought on “Remove URL From Google -Google Se URL Remove Keise Kare”

Leave a comment