Internet Banking Account Keise Banaye

Meine aapko apni pichhli post me btaya tha ki Internet Banking kya hoti hai aur iske kya kya Fayde hai. Agar aapne meri us post ko padi hai to aap shayad jaan chuke hai ki internet banking se hame bahut fayada hota hai. Aap bhi yadi Internet Banking Shuru karne ke baare me soch rhe hai to pahle aapko meri us Post ko bhi pad lena chahiye.

 

Ab me ye maan leta hu ki aapne us post ko pad liya hai aur aap bhi internet banking start karne ke baare me soch rhe hai. Aaj ke is Article me mein aapko internet banking account banane ki poori jankari dunga jisse aap ghar beithe hi online net banking start kar sakte hai.

● Airtel Internet Trick : 2G Ke Recharge Par 3G Internet Chalaye

Internet Banking Ke Liye Kya Kya Chahiye:-

1- aapka bank me account hona chahiye.

2- aapke paas us account ka atm card hona chahiye aur iske pin bhi hone chahiye.

3- CIF number ki jarurat bhi hogi. Ye aapki Bank Passbook me mil jayenge agar nahi hai to aapko bank me jakar lene honge.

4- aapka Mobile Number aapke bank me registered hona chahiye.

5- Aapke Bank ke IFSC Code hone Chahiye. Example- SBBJ0045621

Agar aapke paas ye sab hai to aap ghar beithe hi Net Banking Account Open Kar sakte hai.

● Internet Se Peise Kamaye

Internet Banking Account Keise Banaye:-

Step:-1

Sabse pahle aap apne bank ki official website par jaye. Sbbj ki official site www.sbbjonline.com hai.

Step:-2

Iske baad personal banking par jaye.

Step:-3

Ab New User par click kre.

Step:-4

Iske baad aapko apne bank ki Detail Deni hai.

Account Number – Apna Account Number Likhe.

CIF – aapki Bank passbook me likhe CIF number Likhe.

Branch Code – apni Branch ka code likhe. Agar aapke bank ke IFSC Code SBBJ00987 hai to Branch Code 00987 honge.

Country – India Select kare.

Registered mobile number – apna mobile number likhe.

Transition type– full transition select kre.

Captcha code – niche likhe code enter kare.

● Ab aap submit kar de.

Step:-5

Submit karne ke baad aapke registered mobile number par bank ki taraf se One Time Password aayega use Verify kare.

Step:-6

Verify ho jane ke baad aapke samne 2 (two) option aayenge. I have atm card aur i have not atm card. Aapko pahle wale par click karna hai.

Step:-7

Agli screen me aapko apne atm card ki detail Deni hai. Apne atm card ki Detail submit kre aur Pay par click kre. Ye step aapke Atm ko Varify karne ke liye hota hai.

● Free Me Blog Keise Banaye Blogger Blog Par 

Step:-8

Atm verify hone ke baad aap internet banking ke liye successfully register ho gaye hai. Ab aapko aapka Temprerry user name aapki screen par aa jayega aur aapke registered mobile number par bhi aayega. Usse aap login kar le.

Step -9

Login karte hi aapko apna user name change karna hoga. Aap apna user name change kar le aur password bhi change kar le.

Step:-10

Ab aapki internet banking start ho gayi hai. Ab kuchh setting hai wo aap apne tarike se kar sakte hai.

● Apne Blog Ke Liye Feed Keise Banaye

Last word

SBI Internet Banking suvidha dene me sabse top bank hai. Iski net banking service bhi sabse achhi hai. Agar dekha jaye to har circle me ye alag bhi ho sakti hai. Aaj aapko meine jo tarika bataya hai usse aap ghar beithe hi ye sabhi suvidhaye le sakte hai. iske alaawa agar aap Internet se nahi kar sakte to aap home branch me jakar bhi is suvidha ko shuru karwa sakte hai lekin aapko saari setting veise hi karni padegi jeisa meine bataya hai.

To aap bhi agar internet ka knowledge rakhte hai to net banking account ko shuru kar sakte hai jisse appko bahut sari suvidhaye milegi. Aapko agar net banking account open karne me koi problem aati hai to aap comment box me puchh sakte hai. Mujhe aapki help karne me khushi hogi.

7 thoughts on “Internet Banking Account Keise Banaye”

  1. Sir I WANT TO USE IT COMMERCIAL PERPOSE. AS MONEY TRANSFER FROM MY ACCOUNT TO ANU ACCOUNT IN INDIA. KYA MUJE ALAG SE KOI SETTINGS LENE HONGE.

    Reply
  2. bro
    mene sbi me registration kiya tha. mobile par msg bi aaya usr name tha usme bs. us usr name opne ni ho rha
    plz help

    Reply

Leave a comment