Meine aapko pichhli post me bataya tha ki aap Free me apni Website keise bana sakte hai aur use google search engine me submit kar sakte hai. Aaj ki post bhi usi se related hai Google Search Console. Aapki website bhi ab Google me show hone lag gayi hogi lekin uska sirf homepage hi show hota hai. Agar aapko apni post bhi Google me index karni hai to aapko iske liye Google sitemap banana hoga. Jiske baad aapki har post bhi Google me aane lag jayegi.
Agar aap new blogger hai to aapko apne blog ko search console me verify karna hoga iske bina aapko bilkul bhi traffic nahi milega. Google Search Console me aapki website ka poora Data hota hai. Jise Google ko crawl karne me bahut help milti hai.
● BlogKo Feedburner Me Keise Register Kare
● Free Me Website Keise Banaye
XML Sitemap Kya Hai?
XML sitemap ek esi file hoti hai jisme humari website ke sabhi link hoti hai. Aap is url se apne blog ki kisi bhi post ko open kar sakte hai. XML file ke Google me submit karne se aapke blog ki traffic bhi badti hai because isse google aapki har URL ko apne search ingine me show karne lagta hai.
● Bina Recharge Ke Dishtv Me Free Channal Keise Dekhe
Blog Ko Google Search Console Me Verify Keise Kare:-
Step:-1
Sabse pahle aap Yaha Click Karke Search Console Website par Jaye. Iske baad apni Gmail Se Login kare. Login karne ke baad aapka Dashboard open ho jayega.
● Internet Banking Account Keise Banaye
Step:-2
Ab aap Add property par click kare aur apni website ka address likhe. Aap bina www ke bhi likh sakte hai. Example-hindistock.com
Step:-3
Ab aapko aapki property ko Varify karna hai. Iske liye aapne jis website se apna Domain liya hai aap us website se bhi verify kar sakte hai. Ye sabse easy way hai. Iske alawa aap alternate method par click karke meta code ko copy kar le aur apni template me paste kar de. Iske baad verify par click kare. Agar sab kuchh sahi raha to aapki property verify ho jayegi.
Blog Ke Liye Sitemap Keise Banaye:-
Blogger Blog Me
Step:-1
sitemap banane ke liye aapke Dashboard me Sitemap ka option hai us par click kare.
Step:-2
Iske baad add/test sitemap par click kare aur yaha par sitemap.xml type karke submit kar de. Ab aap is page ko refresh kar le. Aapka sitemap submit ho chuka hai. Google aapki site ko crawl karega tab tak yaha par pending show hoga aur 24 hour ke baad ye submit ho jayega.
WordPress Blog Me
Agar aap WordPress par blogging karte hai to aap yoast SEO plugins ka use bhi jarur karte hai.Agar meri baat ki jaye to me sitemap ke liye yoast SEO plugins ka use hi karta hu.
● Whatsapp Group Ka Link Keise Banaye
● Android Mobile Ko Root Keise Kare
WordPress blog me sitemap banane ke liye aap sabse pahle apne dashboard par jaye uske baad yoast SEO par click kare isme XML sitemap ka option hai us par click karke ise Enable kar de.
Ab aapka sitemap ban chuka hai. Aap XML sitemap par click karke dekh sakte hai. WordPress me sitemap automatically generate ho jata hai hume bas search console me submit karna hota hai.
● Mp3 Song Me Apni Photo Keise Lagaye
Ab aap wapas Google Search Console me jaye aur add/test sitemap par click karke sitemap_index.xml likhkar submit kar de. Iske baad apne page ko refresh kar de. Ab aapka sitemap 24hours me search ingine me show hone lag jayega.
Last Word
Agar aap apni website par traffic lana chahte hai to aapko search console me verify karke sitemap create karna hoga. Agar sitemap ko submit nahi kiya jata hai to Google me sirf aapki website ka homapge hi index hoga. Sitemap submit hote hi aapki har post aur categories bhi search ingine me aane lag jayegi jisse aapki traffic bhi badhegi. Aapko agar is post se related issue hai to aap comment me puchh sakte hai. Aapko ye post keisi lagi mujhe jarur bataye.
Its nice information. keep sharing
Very good sir ji mene bi 2mahine pahele blog bnaya hai lekin traffic bahut km aa rhi hai
Sir bahut achhi jankari hai bahut bahut thanks
Very Nice Post, Thanks
Welcome mahesh. Keep visiting hindistock