Hello my Visitor, aaj me khud par proud kar sakta hu ki me ek blogger hu. Aap shayad is baat ko jante bhi honge ya nahi bhi jante. Aapki jankari ke liye bata du ki Blogging karna meri nazar me sabse interesting work hai. Me ab blogging ko hi apna professional work maan chuka hu. Aaj me aapko meri Blogging Journey ke baare me bata raha hu. Aapko post tittle padkar shayad pata chal gaya hoga ki mere is blog ki ye 50th post hai.
Jab hum blogging start karte hai to sabse pahle hame housla rakhne ki jarurat padhti hai. Blogging ek esa platform hai jo hamari bahut pariksha leta hai. Shuru me jab hum blogging start karte hai to poore josh me hote hai lekin ye josh kuchh time baad hi kam ho jata hai. Jab hume lagta hai ki hum Daily post karte hai lekin usko padhne wala to koi aata hi nahi hai. Isi karan hum blogging ko band kar dete hai aur hamara ye sapna bhi sapna hi rah jata hai. Blogging Journey.
● aap bhi apna blog banaye sirf 5 minutes me
● Dishtv bina recharge ke keise dekhe
Agar aap mere regular visitor hai to aap shayad jante hai ki meine ye blog 24 september 2016 ko banaya tha. Lekin me isse pahle bhi blogging kar chuka hu. Pahle me kisi dusri site par kaam karta tha lekin kisi reason ki wajah se wo site delete kar di. Iske baad meine hindistock par kaam karna start kar diya. Ab aap dekh sakte hai ki me is par 50 post publish kar chuka hu. 50 post publish karna koi aasan kaam nahi hai aur esa nahi hai ki aap bas kuchh hi time me publish kar de. Mera blog bhi aaj 50 Days old ho chuka hai matlab ki meine Daily ek post publish ki hai. Aap kisi bhi site par check karna ki Daily post publish karna kitna mushkil hai to aapko bhi iska ehsaas ho jayega.
● kisi bhi song se voice ko remove karke apni voice set kare
● gmail account ke baare me poori jankari padhe
My Pageview
Mujhe ye kahte huye bhi bahut achha lag raha hai ki jab meine blogging start ki thi to first month me sirf 35 pageview Daily ke mile the. Ab aap bhi soch sakte hai ki 35 page view agar milte hai to koun chahega ki wo blogging continue rakhe. Iske baad meine kuchh SEO par dhyan diya aur continue post karta raha. Second month me mere pageview Double ho gaye. Matlab ab Average 70 pageview ki ho chuki thi. Ab mujhe bhi khud par vishwas hone lag gaya tha.
● Android mobile ko reset karne ke 3 super tarike
Ab meine adsense ke liye apply kiya lekin low traffic ki wajah se approve nahi hua. Iske baad meine kuchh din baad fir se apply kiya to mujhe 100 Pageview par adsense ka approval mil gaya jo ki ek bahut badi baat thi. Iske baad November me to mujhe vishwas hi nahi huaa ki achanak se pageview itne keise aane lag gaye. Jeise hi mera adsense approve huaa traffic me bahut jyada fark pad gaya. 100 page view se seedhe 270 ho gaye. Ab pichhle 7 Days me mujhe 1800 pageview mile hai. Jisse aap andaaz laga sakte hai.
● kisi bhi website ke baare me poori jankari check kare
● aapka Mobile khud bolega ki me yaha hu. janiye keise
Traffic – Blogging Journey
Mere paas sabse jyada traffic facebook se aata hai. iske baad sabse jyada search engine se aata hai. Meri website ko popular banane me facebook ne poora saath diya hai. Iske saath saath kuchh SEO Tips bhi follow karne padte hai. Bina SEO ke blogging karna sirf apna time waste karna hi hai. isliye aap bhi agar blogging karte hai to SEO ke baare me pahle achhi tarah se padh le. Ye meri ab tak ki Journey thi. Aage ki post 100 post hone ke baad publish karunga.
● apne name ki ringtone Download kare
Summary
Blogging ek esa career hai jisme bahut sara time dene ki jarurat hoti hai. Aap jab shuru me blogging start karte hai to income ke baare me to soch bhi nahi sakte. Ye maan kar chaliye ki six month tak aapki income 00₹ hi hogi. Lekin aapne agar 6 month blogging kar li to aap khoob peise kama sakte hai. I hope meri ye story ” Blogging Journey ” wali post aapko pasand aayi hogi. Aap apne feedback mujhe comment box me de sakte hai.
brother facebook par apni site ko kaise promote karte ho aap? kya kya karte ho zyada visitor lane ke liye.
ज्यादा से ज्यादा ग्रुप join कीजिये और सभी में अपनी पोस्ट को शेयर करें लेकिन बार में केवल 33 ग्रुप में ही पोस्ट करे नहीं तो आपका ब्लॉग spam हो जाएगा
kisi bhi group me share karna to thik rahega nahi?
आपका ब्लॉग जिस टॉपिक पर है उस टॉपिक से रिलेटेड ग्रुप में पोस्ट करे तो अच्छा होगा|