Agar aap Social Site jeise -Whatsapp aur facebook par sabse jyada active rahte hai to aap shayad in site par aane wali fake link ke baare me achhi tarah se jante hai. Me bhi social site facebook aur whatsapp ka use bahut jyada karta hu. In sabme savse jyada pareshani hoti hai fake link ki. Poore din whatsapp par fake link share hote rahte hai. Aap bhi jante hai ki sabhi link sahi nahi hote hai. Aaj me aapko ek esa tarika batata hu jisse aap Kisi Bhi Website ki detail check kar sakte hai.
Agar aapko bhi ese link share karne ki problem hai to meri aaj ki post padhne ke baad aap bhi kabhi fake link share nahi karenge. Website ke link sabhi fake nahi hote hai. Lekin 80% se jyada link fake hote hai aur un par kabhi bhoolkar bhi click nahi karna chahiye aur share karne ke baare me to sochna bhi nahi chahiye. Ese link par jab aap click karte hai to aapka data hacker ki nazar me aa jata hai aur ho sakta hai ki aapka Mobile hack ho jaye. Mobile ka hack ho jane ka pata tab chalta hai jab mobile me kahin par bhi ad show hone lagte hai. Agar aapka Mobile bhi ese hota hai to aap turant hi use reset kar le. Reset karne ke bhi alag alag tarike hai jinko aap yaha click karke pad sakte hai.
● meine apna adsense approve keise karwaya- approval story
● mobile me hindi typing karne ka sabse easy tool
Kisi bhi website ki detail check kare
Ab point ye hai ki hume pata keise chalega ki ye link fake hai. To sabse important baat ye hai ki jo website apne link aage share karne ke baare me bole to aap savdhaan ho jaiye. Ese link share na kare kyonki aap to iske jaal me fas chuke hai lekin aap apne dosto ko isme shamil na kare. Iske alawa aapko aaj me 2 esi website ke link dunga jisse aap pata laga sakte hai ki ye website real hai ya fake hai.
● Android ke liye 2 best screen recording apps download kare
Sabse pahle to aapko pata hona chahiye ki kisi bhi website ka Domain hi sabse important hota hai. Domain ka matlab hai us website ka address jeise hamari website ka Domain hindistock hai. Isi tarah se Domain ka name esa hona chahiye jo bolne se hi pata chal jaye ki iska matlab kya hai. Meine dekha hai whatsapp par kuchh Domain ese hote hai – get-modi-name-free-shirt.com. ab aap bhi andaaz laga sakte hai ki ye jeisa name hai.
● janiye google aap par nazar keise rakhta hai
● kisi bhi song se singer ki voice hataye aur apni voice set kare
Kisi bhi website ki detail check kare -Metod-1
Aap agar kisi bhi website ke owner ke baare me poori detail lena chahte hai to aap yaha click karke website par jaye. Iske baad aap search box me us domain ka name type kare. For example-hindistock.com. agar website sahi huyi to aapko is website ki poori detail mil jayegi. Aap sab kuchh dekh sakte hai. Is list me website owner ka name aur uske mobile number,email sab kuchh mil jayega. Itna hi nahi wo website kisliye banayi gayi hai uska bhi pata chal jayega. Website banane wale ka poora address show ho jayega. Is tarike se aap sabse pahle us website ko check kare uske baad hi us site par visit kare.
Kisi bhi website ki detail check kare- Method -2
Iske alawa ek aur bahut hi achhi website hai jisse aap check kar sakte hai ki website asli hai ya nakli. Iske liye aap sabse pahle yaha click karke aur jis website ke baare me janna chahte hai uska url type kare. Ab aapke samne us website ki chhoti se chhoti detail bhi show ho jayegi. Isme sab kuchh aa jayega ki website ka homepage kya hai aur is par kis tarah ki jankari hai. Is website ka Domain kab kiya gaya tha aur ye expire kab hoga iski bhi detail mil jayegi. Aap meri site ka Domain dekh sakte hai. Ye one year show karega matlab mujhe one year me baar fir se renew karwana hoga.
Post Summary
Ye kuchh tip the jinse aap fake link ko avoid kar sakte hai. Me aapko suggest karunga ki aap ek baar jarur check kar le. Aap kisi bhi site se shopping na kare. Pahle us site ki poori detail check kare warna ho sakta hai ki aap online shopping kare aur wo product aapke paas aaye hi nahi. Aap Amazon, flipkart sabhi ke founder ka pata laga sakte hai. Iske kuchh website ki detail show nahi hogi. Ho sakta hai ki unhone iske liye paid service use ki ho. I hope aapko meri post ” kisi bhi website ki detail check ” pasand aayi hogi. Aap ise apne dosto me jarur share kare jisse wo bhi is online bugg se bach sake.
Shi details h
Sir
Aap ne bhot accha jankari diye
sir agr fake linke se paise account se cut jaaye to paise wapis ho paayeva bank ko inform krne se ya nahi ho pata kyu k mere sath aisa ho chuka hai
Bhai pdf converter website kaise banate hai any idea
Is site ki jankari do ye fargi ha ya sahi
sir aap kis website se ye page banaye hai
matlab bloger ya wardpress
WordPress Se
Sir plls halp me I want some information about the website plls halp me
thanks for providing best information ,i really thnkx you.
Sir ye kaise pata kare ki job jo hum sarch karte hai wo job sahi hi khi kahi fake to nhi
पोस्ट में मैंने बताया है ना वहां से चेक कर लो
sir blog me lable kaise create karte hai
पोस्ट लिखते समय लेबल का option मिल जायेगा
bhai m khajuwala se hu m 5-6 Dino bad round hai gharsana me toh waha tum muje MIL sakte ho kya
फिलहाल म गंगानगर में रहता हूँ।