Aap meri ye post padh rahe hai iska matlab aapne apna Domain purchase kar liya hai agar aapne ab tak Domain nahi liya hai to aap Godaddy se Sirf 111₹ me .com Domain le sakte hai uski poori jankari aap yaha click karke padh sakte hai. Aaj hum is article me padhenge ki Blogger blog me Custom Domain Keise Set Kare.
Custom Domain blogger me add karna SEO ke liye bahut important hota hai because aap agar Free Domain ka use kar rahe hai to aapke blog ka address www.yoursite.blogspot.com hota hai. Ab jab koi is address ko dekhta hai to usko pata chal jata hai ki ye free blog hai isliye wo ho sakta hai ki aapki site me interested na bhi ho. Isliye aap agar blogging ko lekar serious hai to aaj hi apne blog me Custom Domain add kar le. Aaj me aapko step to step bataunga ki Domain Keise Set Karte hai.
● blog ko google analytics se Keise jode
● AdSense account Keise Banaye
Sabse pahle aapne jis site se bhi Domain liya hai us par apna account login kare. Me yaha Godaddy se domain set karne ke baare me bata raha hu. Aapne agar kisi aur site se liya hai to Don’t worry sabhi me ek jeisa hi tarika hota hai.
● WordPress me hindi typing keise kare
Blog Me Custom Domain Keise Set Kare
Step-1
Sabse pahle aap Apna Godaddy account login kare. Login karne ke baad cpenal link me Domain management ka option hai aap us par click kare.
Step-2
Iske baad aapke sabhi Domain ki list open ho jayegi. Ab aapko jo bhi Domain set karna hai us par click kare. Click karte hi uski setting open ho jayegi. Yaha aap DNS Zone par click kare.
Step-3
DNS Zone me aapko add Record ka option milega aap us par click kare. Click karne ke baad aapko ab record add karna hai. Sabse pahle aap A(@) likha huaa hai use select kare.
Host me @ type kare. Point to me aapko jo neeche me aapko number de raha hu wo ek ek karke sabhi bharne hai.
Host. Point to
@ 216.239.32.21
@ 216.239.34.21
@ 216.239.36.21
@ 216.239.38.21
Iske baad add another par click kare. Ab aap fir se Host me @ aur point to me dusra number daale. isi tarah se aap sabhi ko fill karne ke baad finish par click kar de.
● meine apna adsense approve keise karwaya
● mobile ko hard reset karne ke 3 super tarike
Blog me Custom Domain Keise Set Kare
Ab is screen ko yahi par chhod de aur apna blogger Dashboard open kare.
Step-4
Dashboard me setting aur uske baad basic setting open kare. Iske baad aapko add third par url…. Ka option milega us par click kare.
Step-5
Yaha par aapne jis Domain ki setting ki thi uska url type kare. For example -www.hindistock.com. ise save kare save karne par ye save nahi hoga aur kuchh error show hoga. Don’t worry aapko ab kuchh setting aur karni hai. Yaha par picture me dikhaye anusaar kuchh show ho raha hai use bhi Domains ki setting me add karna hai. Aap fir se Usi Domain setting par jaye. Yaha add Record par click kare.
Step-6
Record Type me CNAME(ALIAS) Chune. Host me www type kare. Point to me ghs.google.com type kare aur add another par click kare.
Step-7
Ab dusre me aapke Blog me www ke theek neeche jo likha huaa hai use host wale box me likhe point to me uske saamne ki url likhe aur finish kar de.
● google history online check keise kare
Step-8
Ab aap fir se Blogger me save par click kare. Agar aapne sab kuchh sahi kiya hai to ye save ho jayega. Agar save nahi ho raha hai to aap 5-10 minute ka wait kare aur fir se save kare ho jayega.
Step-9
Ab aapko apne blog ko is url se redirect karna hai. Aapne jis Domain ko add kiya hai uske neeche redirect ka option hai us par tick kare aur save kar de.
All Done! Ab aap kuchh samay tak wait kare. Normally 1-2 hours me aapka blog redirect ho jayega lekin ho sakta hai kabhi kabhi ise 12-24 hours bhi lag jaye. Iske baad aap apne blog ko google me search kare. Aapki nayi url ke saath aapka blog open ho jayega.
● feedburner account keise banaye
I hope ki aapko meri ye post Domain keise set kare pasand aayi hogi. Agar aapko kisi tarah ki problem aa rahi hai to aap comment me puchh sakte hai. Mujhe aapki help karne me bahut khushi hogi. Internet ki jankariyon ke liye aap mere saath jude rahe.
1 thought on “Blogger Blog Me Domain Keise Set Kare”