GoDaddy Domain aur hosting ke liye bahut badi company hai. Ye sabse purani comaniyon me se ek hai. lakho customer iski service ka use karte hai. Me bhi godaddy ka hi use karta hu. Iska main reason hai godaddy ke promo code. Ye apne customer ko bahut hi achhe offer deti hai. Jab meine apni hosting aur domain li thi to pahle kisi aur site se compare kiya jiska name me nahi batana chahta to wo hosting mujhe 4800/- me mil rahi thi uske baad godaddy par dekha to 4800/- me hi thi lekin new user ke liye offer tha aur mujhe wo hosting sirf 720/- me hi mil gayi. To aap dekh sakte hai ki kitna fark hai.
Agar aap bhi apna WordPress blog ya Godaddy Domain lene ki soch rahe hai to ye post aapke bahut kaam aayegi. Aaj me aapko ek promo code dunga jisse aap bhi Domain sirf 99/- me le sakte hai wo bhi .com domain. Aap agar nahi jante to aapko bata du ki .com domain ka price 599/- hota hai. godaddy par .com domain pahle 99/- me milta tha lekin ab update kar diya hai ab aapko ye 125/- me milega. .com domain 125/- me lene ke 3 tarike hai.
1- with Hosting
2-Use Promo Code
3- new User sign up
● mp3 song me apni photo keise lagaye
● Android mobile ko root keise kare
1-With Hosting
Agar aap apna WordPress blog banane ke baare me soch rahe hai to ye tarika aap use kar sakte hai. Iske liye sabse pahle aap Godaddy ki website par jaye uske baad aap hosting par click kare. Hosting me aapko bahut se option milenge ki aapko kounsi hosting leni hai. aap WordPress hosting par click kare. Click karne ke baad apna plan select kare ki aapko kitne time ke liye hosting leni hai. agar aap new hai to me aapko suggest karunga ki aap 99/-mo. Select kare iska ek saal ka charge 1200/- hota hai. Ab jab aap is plan ko select karke next par click karoge to aapko display par msg aayega ki aapko ek Domain Free diya jata hai. Aap isme apna pasand ka Domain search karke payment kar de aapko hosting aur Domain Dono hi mil jayenge.
● internet banking account keise banaye
● Dreamindia250se ghar beithe peise kamaye
2- Use Promo Code
Aap yadi hosting nahi lena chahte aur aapko domain ki jarurat hai to aap is tarike ka istemaal kar sakte hai. Iske liye terms ye hai ki aapka account new hona chahiye matlab aapne pahle is offer ka fayda nahi liya huaa hona chahiye. Aap sabse pahle apna godaddy account banaye uske baad aap apna Domain search kare. Aapki pasand ka domain mil jane ke baad use cart me daalkar payment option par aaye. payment option me aapko promo code ka option milega. aap us box me cjc99r type karke apply kar de jeise hi aaply karoge aapka 599/- ki jagah 125 show hone lag jayega. Ab aap iski payment kar de. Is tarah se aap 125 me apna .com domain le sakte hai.
● blog ke liye rss feed keise banaye
● atm pin online change keise kare
3- New User Sign up
Ye offer Godaddy apne new customer ko provide karwata hai. Agar aap bhi new user hai to iska use kar sakte hai. iske liye sabse pahle aap google me jakar Godaddy Domain type karke search kare. Search result me sabse pahle godaddy ki ad aayegi usme likha hoga ki 125/- me .com Domain.
Aap us par click kare. Agali screen me aap box me apne domain ko search kare agar available hai to aapko display par msg dikh jayega ab aap use select kar le. Yaha par 99/- show ho raha hai. Iske baad same wahi process hai. aap use cart me daalkar payment kar de. Payment karte hi aapka domain aapke account me aa jayega.
● Facebook page keise banaye aur verify kare
● apne bank se money transfer keise kare
Last Word- Godaddy
Godaddy se Domain aur hosting lene ki ye super trick hai aur ye kabhi bhi expire nahi hogi. Isliye aap kabhi bhi iska use kar skate hai. Jab meine bhi blogging shuru ki thi aur domain liya tha to mujhe iska pata nahi tha isliye meine domain 599/- me le liya lekin me chahta hu ki mere visitor ye galti na kare aur iska fayda uthaye.
● blog ko analytics se keise jode
I hope ye post aapko pasand aayi hogi. Aap meri in post ko apne friends circle me jarur share kare aur internet ki jankariyo ke mere saath isi tarah se jude rahe.
bhai aap bahut achchha articlr likhte ho .bhai kya .ooo domain par adsense approval mil jaata hai kya. wordpress mein suruaat kare to ek saal ka total kitna kharcha aayega jawab jarur dena bhai
हां मिल जाता है