Youtube ke baare me aapne bahut kuchh suna hoga. Yeh Google ka ek esa platform hai jo hume online videos dekhne ki suvidha deta hai. Aapne bhi is website par videos jarur dekhe honge lekin kya kabhi aapne esa dekha hai ki aap is site par video upload kar sakte hai aur usse aap Online Money bhi earn kar sakte hai.
Youtube online earning ke liye ek achha platform hai. Agar aapke paas bhi koi achha video hai jo log dekhna pasand karte hai to aap apne un sabhi video se online earning kar sakte hai. Isse earning karne ke liye aapke paas aapka Google Account hona chahiye jise Gmail Account bhi kahte hai. Agar aapke paas gmail account hai to aap bina investment kiye hi peise kamaa sakte hai.
● Bina Recharge Ke Dishtv Me Free Channal Keise Dekhe
● Dreamindia250 Se Ghar Beithe Peise Kamaye
Bahut se log isse earning karte hai unme se ek me bhi hu. Aapko earning ke liye is site par account banana hoga iske baad apne videos upload kare lekin uske liye hume channal ki jarurat padegi. Channal banane ke baad hi aap videos upload kar sakte hai. Channal keise banate hai iski me aapko poori jankari dunga.
● Android Mobile ko Root Keise Kiya Jata Hai? Root Karne Ke Kya Fayde Hai
● Gmai Me 2Step Verification Keise On Kare
Youtube Channal Keise Banaye :-
Step:-1
Youtube Channal banane ke liye sabse pahle aap youtube ki website open kare. Iske baad apni Gmail se login kare.
Step:-2
Login karne ke baad aapka Dashboard open ho jayega. Agar aap mobile se website open karte hai to mobile version me poori website open nahi hoti hai. Isliye aap Google Chrome me apni website open kare iske baad Desktop version par click kar de. Ab aapki website jeise PC me open hoti hai veise hi open hogi.
Step:-3
Iske baad aap picture me dikhaye anusaar menu par click kare. Uske baad channal par click kar De.
Step:-4
Agli screen me aapko apne channel ka name likhna hai. Aap koi achha sa name likhe jo sabse jyada popular ho ya jiske baare me aap videos upload karna chahenge. Agar aap kisi special website ke liye channel nahi banaa rahe hai to aap apne name se bhi bana sakte hai.
Step:-5
Create Channal par click karte hi aapka channal create ho jayega. Ab aapko uski setting karni hai. Discription par click karke aap apne channal ke baare me poori Detail de sakte hai. Iske alawa aap cover photo bhi laga sakte hai.
Step:-6
Ab hume is channal ko Google se verify karna hai. Iske liye aap fir se menu par click kare. Iske baad channal par click kare fir status and feature par click kar de. Ab yaha par verify ka option aa raha hai. verify karne ke liye is par click kare.
Step:-7
Verify par click karne ke baad picture me dikhaye anusaar aap apne mobile number verify kare. Google aapke dwara diye gaye mobile me otp send karega usse aap verify kar de.
Step:-8
Ab aapka account verify ho gaya hai. Ab us aapko Display par msg bhi mil gaya hoga.
All Done! Ab aap apne videos ko upload kar sakte hai. Dhyan rakhe aap kabhi bhi copyright videos upload nahi kar sakte warna aap par copyright ka case bhi ho sakta hai. Isliye aap apne dwara banaye gaye videos hi upload kare.
● Mp3 Song Me Apni Picture Keise Lagaye
● AdSense Account Keise Banaye
Last Word
Youtube online earning ke liye ek behtar platform hai. Isme hume jyada kuchh struggle karne ki bhi jarurat nahi padti. Agar aap weekly Ek video bhi upload kar dete hai to aap achhi earning kar sakte hai. Lekin earning hogi keise to iska jawab bhi Google bhi deta hai. Aap apne youtube channal banane ke baad 5-10 video upload karne ke baad Google AdSense Ke Liye Apply kar sakte hai.
● Apne Name Ki Ringtone Download Keise Kare
● Freecharge Application Ka Use Keise Kare
Google Adsense ko internet ki language me peise ugalne wali website bhi kahaa jata hai to aap bhi aaj hi channal banakar earning start kar sakte hai. Aapko meri ye post keisi lagi mujhe jarur bataye aur isi tarah se jude rahe mere saath latest update lene ke liye.
Very nice sir
nice post thanks sir…