Gmail Google ki ek free email seva hai. Aaj veise to gmail se mail bhejna kam ho gaya hai lekin professional work karne wale aaj bhi dusri kisi bhi site ka istemal nahi karte wo kisi se contact karne ke liye aaj bhi gmail ka use karna hi safe mante hai. Me bhi gmail ja hi use karta hu.
Jo log gmail ka use karte hai unko pata hai ki ye kitna important hai. Hame jab kabhi bhi koi bhi account banana pade to hame gmail aur apne mobile number ki sabse jyada jarurat padti hai. Mobile number ke bina to kaam chal sakta hai lekin gmail ke bina account nahi ban sakta. Aaj ki is post me mein aapko apne gmail account ko hack hone se keise bachaye iski poori jankari dunga.
● Dreamindia250 Se Ghar Beithe Lakho Kamaye
Email ko safe karne ke liye google ne 2step verification service ko shuru kiya hai. Agar aap is seva ko start kar lete hai to aapka Gmail account 100% safe ho jayega. 2step verification ko start karne se aapka agar paasword chori ho bhi jata hai to hacker aapke email me enter nahi ho payega because isme aap jitni baar login karenge aapko aapke registered mobile me msg aayega jisme 6 Digit otp hoga use verify karne ke baad hi login hoga.
● Ek Click Se Sabhi Whatsapp Group Me Msg Bheje
Gmail me 2 Step Verification Ko Keise Enable Kare
Step:-1
Sabse pahle aap Account Setting par jaye. Iske baad apni gmail id aur password se login kare.
Step:-2
Login karne ke baad aapke account ka setting page open ho jayegi. Ab aap scroll down kare aur 2 Step verification likha huaa hai us par click kare.
Step:-3
Iske baad Get Start par click kare. Ab aapki ID fir se logout ho gayi hai ise fir se login kare. agli screen me apna mobile number enter kare. Yaha par aap apna personal number hi daale. Iske baad try it par click kar de.
Step:-4
Aapke dwara diye gaye number par otp (one time password) aayega use verify kar de.
Step:-5
Aapka verification ho gaya hai. Last step me aap turn on kar de. Turn on karne ke baad aapko email se conform msg mil jayega ki aapka 2step verification on ho chuka hai.
Ab aap future me jab bhi login karenge aapko apne otp verify karne honge.
● Whatsapp Group Ka Link Keise Banaye
● Internet Banking Account Keise Banaye
Last word
Gmail me 2 step verification ka option bahut hi Useful hai lekin bahut se user ko iska pata bhi nahi hota hai. Aaj har kisi bade account me ye Option mil jata hai example- agar aap godaddy me login karenge to bhi aapko ye option mil jayega isse sabse bada fayda ye hai ki hame Double password mil jata hai ek yadi kisi ne crack kar bhi liya to wo kuchh nahi kar payega jab tak otp verify nahi honge.
Aap 2step verification me apna personal number hi De because agar aap kisi alternate number ka use karenge to ho sakta hai ki aapke paas kabhi wo uplabdh na ho lekin aapka personal number hamesha aapke paas hota hai.
● Airtel Me 2G Ke Recharge Par 3G Internet Chalaye
Aap isi tarah se internet ki jankariyo ke liye mere saath jude rahe.
Facebook se judne ke liye Yaha Click Kare.
Mere baare me jaanne ke liye Yaha Click Kare.
Google+ par mujhe follow karne ke liye Yaha Click Kare.
Mere youtube channal ko subscribe karne ke liye Yaha Click Kare.
Very helpful post.