Android Apps Keise Banaye (Create Android Apps Only 5 Minutes)

Aaj ka time Android ka time hai. Aajkal sabhi Android ka use karte hai mobile category me Android ka name sabse pahle aata hai. Android mobile ke use karne se Android ke liye application ki bhi demand bahut hai. Android Apps Android mobile ke liye heart ka kaam karta hai. Bina apps ke aap Android mobile me kuchh nahi kar sakte. Android apps ke sabse popular shop Google Play Store hai. Google play store par itne apps hai ki aap agar ek word bhi type karo to uske 200+ sambhavit results show hote hai.

Agar aapko bhi ye lagta hai ko Android Apps banana bahut mushkil kaam hai to aap bilkul galat soch rahe hai. Agar aapke paas Android mobile hai to aap sirf 5 minute me Android apps bana sakte hai. Iske baad agar aap us apps se income lena chahte hai to aapko peise dene honge. Android ke liye apps banane me appsgyser sabse popular site hai.Is par har din hajaro apps banaye jate hai. aur sabse achhi baat ye hai ki isme apps ko edit karna bahut hi easy hai.

● Freecharge Se recharge keise kare

● youtube channal keise banaye

Aaj ke is article me mein aapko Android ke liye apps keise banaya jata hai aur use publish keise kiya jata hai iski poori jankari dunga. Iske alawa aap agar use Google play store par publish kar de to aapko isse income bhi milegi.

● mp3 song me apni photo keise lagaye

● gmail ko hack hone se keise bachaye

How to create a Android Apps

Step:-1

Android apps banane ke liye sabse pahle aap yaha click karke appsgyser ki website par jaye. Uske baad sabse pahle aapko create apps ka option milega us par click kare.

Step:-2

Iske baad aapko isme bahut si category milegi. Aapko kis type ka apps banana hai aap isme se chun le. Agar aapko UC Browser ki tarah browser banana hai to aap browser par click kare. Yaha par me apni website ke liye apps bana raha hu. To Website wale option par click kare.

Step:-3

Ab yaha par apni website ka url dale aur Next par click kare.

Step:-4

Ab aapko apne apps ki Details deni hai. Sabse pahle app name likhe uske baad Discrption likhe. Ab aapko App icon lagana hai aapke paas agar available hai to laga de warna default income hi rahne de ise aap baad me bhi laga sakte hai. last me aap next par click karke create par click kar de.

Step:-5

Ab aapka apps ban chuka hai. Yah par mobile ka icon show ho raha hai. Aap preview par click karke apni apps dekh sakte hai.

● whatsapp group link keise banaye

● free me website keise banaye

Last Word

Android Apps Banane ke liye hume Coding aur html ka knowledge hona bahut jaruri hai. Lekin ye kuchh website hai jisme har website ki coding ki huyi hai bas aapko apni website ki detail deni hai. Coding ka knowledge bahut mayne rakhta hai agar aapko coding aati hai to aap apni application me kuchh bhi changes kar sakte hai. Mujhe bhi pahle coding ke baare me knowledge nahi tha lekin internet par esi bahut si website hai jisse aap coding seekh sakte hai. Meine bhi coding seekhne ke baad apni website ko Disign kiya hai. To aap bhi apps banaye aur peise kamaye.

1 thought on “Android Apps Keise Banaye (Create Android Apps Only 5 Minutes)”

Leave a comment