Hello Dosto, aapka ek baar fir se swagat hai meri aaj ki post me. Meine apni pichhli post me bataya tha ki aap AdSense ke ads kuchh hi time me keise bana sakte hai jise aap yaha click karke padh sakte hai. Meri ye post bhi Adsense se hi judi huyi hai. Is article me hum baat karenge ki hum page level ads se extra money keise earn kar sakte hai.
Jaha tak me janta hu sabhi blogger blogging sirf peise ke liye hi karte hai lekin Iska matlab ye nahi hai ki wo logo ki help nahi karte.jab hume kisi ki help karne ke peise mil rahe hai to kyo na isse peise bhi kamaye jaye. Ye koi bad idea nahi hai aur aap bhi jante hai ki professional blogger blogging se bahut peise kama rahe hai. To chaliye ab fir se topic par aate hai. Aap meri ye post padh rahe hai iska matlab hai ki aapka AdSense account bhi fully approve ho chuka hai.
● whatsapp media ko gallary se hide Keise kare
● aapke paas ke ATM me cash hai ya nahi check kare
Page level ads kya hai
Google account me page level ad ka ek hideen feature hota hai jisko new blogger ya jinka account abhi abhi approve huaa hai wo iske baare me nahi jante. Aapne dekha hoga ki jab hum kisi blog ya website ko mobile me open karte hai to footer me bhi ad aati rahti hai. Inhi ads ko page level ads kahte hai. Aap bhi iska use karke extra money earn kar sakte hai. Lekin aapko pahle iske liye kuchh setting karni hogi jise me aage bata raha hu.
● Blogging me gmail ka use karte hai to ye jankari jarur padhe
● Godaddy account me 2step verification enable keise kare
AdSense me page level ads keise banaye
Step-1
Page level ads banane ke liye sabse pahle aap apne AdSense account ko login kare. Iske baad home par click kare. Home me aapko my ads par click karne ke baad page level ka option dikhayi dega. Aap us par click kare.
Step-2
Ab yaha par aapko “turn on ad format that you would like to use” likha huaa hai. Uske theek neeche ke dono option ko picture me dikhaye anusaar on kar de.
Step-3
On karne ke baad neeche aapko Get Code ka option milega. Aap us par click kar le aur us code ko copy kar le.
● apne aadhar card ko bank se link keise kare
Step-4
Iske baad is code ko apni template me paste karna hai. WordPress me aap appearance>editor me jaye.
Step-5
Ab yaha header.php par click kare aur jaha bhi <head> ya <body> likha huaa dikhayi de uske theek neeche is code ko paste kar de.
Step-6
Blogger me bhi yahi method hai. Aap blogger Dashboard me jaye. Uske baad template par click kare. Fir aap edit html par click kare. Ab aapki templet open ho jayegi. Aap <head> ke neeche is code ko paste kar de.
Ab aapka kaam ho gaya hai. Ab aap mobile me apni site open kare. Aapko picture ne dikhaye anusar ads dikhne lagenge. Agar ad show nahi ho rahe hai to aap kuchh time wait kare. Google Adsense aapki site ko analysis karne ke baad ad show karne lagega.
● blogger blog me Custom Domain keise add kare
● 2 best android screen recording apps download kare
I hope ki meri ye post “page level ads keise banate hai” aapko AdSense se extra money earn karne me helpful hogi. Aapko agar kisi type ki help ki jarurat hai to aap comment box ka use karke meri help le sakte hai. Mujhe aapki help karne me khushi hogi. Internet ki jankariyon ke liye aap mere saath isi tarah se jude rahe. Jald milte hai ek nayi post ke saath.