AdSense CPC Badhane Ke Top 5 Tareeke Hindi Me – AdSense Guide

Hello Friends jaisa ki aap jante hai ki AdSense sabse best advertising network hai or iska bahut se user use bhi karte hai but kayi logo ki yeh problem rahti hai ki unki CPC bahut low hai isse unki earning bahut low hoti hai aaj ke article me hum aapko AdSense CPC Badhane Ke Top 5 Tareeke Hindi Me batane wale Hai Jiske baad hum aasha karte hai ki aapki cpc bhi kuchh had tak increase ho jaye.AdSense CPC Badhane Ke Top 5 Tareeke Hindi Me

AdSense ki CPC bahut si Wajah se low ho sakti hai or apki CPC low hai to usme kahi na kahi aapse hi koi mistake hoti hai jisse CPC down ho jati hai or kai bar jyada click bombing se bhi CPC 0.02 tak aa sakti hai iske liye apko kuchh aise tareeke batane wale hai jisse ap apne AdSense ki CPC increase kar sakte Hai.

To Dosto aaj ki is post ko start karne se pahle aapko me bata doo ki mera name Raghuveer Charan Hai aur me pmoyojana.in ka founder hu. HindiStock.Com par ye meri pahli guest post hai. agar aapko mera ye article pasand aaye to aap mere blog par visit jarur kare. to chliye dosto shuru karte hai aaj ki ye post jiska name hai- AdSense CPC Badhane Ke Top 5 Tareeke Hindi Me.

AdSense me normal CPC India me $0.04 – $0.08 tak ho sakti hai par kai bar isse jyada ya kam bhi hoti hai kai logo ki CPC $0.00 ya 0.01 tak aa jati hai isse bahut bad effect padta hai aaj hum aapko kuchh aise tareeke batane wale hai jisse aap apne AdSense ki CPC ko 25% tak increase kar sakte hai iske liye aap hamare bataye gaye step ko follow kare.

READ :- AdSense Account Approve Na Hone Ke Kya Reason Hai Aur Ise Approve Kaise Karwaye?

READ :- Google Adsense Ka Use Kaise Karna Chahiye Jisse Wo Desable Na Ho

AdSense CPC Calculate Kaise Karte Hai?

Aap normally apne smartphone me AdSense application install kar ke CPC check kar sakte hai ya aap chahe to hamara ye formula use kar sakte hai

AdSense Earning / Total Click = AdSense CPC

( $5 earning /20 click  =  0.25 Apki CPC hogi

AdSense CPC Badhane Ke Top 5 Tareeke Hindi Me

1. Use Taxt & Image Ads

jyada blogger apne blog ya wabsite me link ads hi use karte hai par vo ye nahi jante ki isse unki CPC bahut low hoti hai kyu ki AdSense link ads par low CPC deta hai agar aapko high CPC chahiye to image ads ya taxt ads ka jyada se jyada use kare ispar click kam aayege par CPC hamesa best rahegi.

Link ads par normal CPC $ 0.04 ho sakti hai jabki India me image tax ads par apko $ 0.09 tak CPC mil jati hai.

Image and taxt ads banane ke liye apko simply AdSense account me ads unit par click kar ke new ads banani hai or new ads ko link ads ki jagah banner ads select kar ke aap image and taxt ads bana sakte hai.

READ :- Blogging Job Se Jude Kuchh Sawal-Jawab Jo Aapke Liye Jaruri Hai

READ :- Blogger Apni Monthly Income Report Share Kyo Nahi Karte?

2. Ads Size

AdSense CPC Me ads size ka bahut bada role hota hai agar ap ads ki size ko ignore kar ke ads banaoge to apko kabhi bhi high CPC nahi mil sakti jab aapka AdSense ka approval hota hai to AdSense se ek mail bheja jata hai jisme apko ads size kya rakhni jisse apki CPC increase ho sake.

Normally aapko apne AdSense ads ki size responsive hi rakhni chahiye ye sabse batter hai or aap image ya taxt ads Banate hai to uski size 300 × 250 rakhe isme CPC acchi milti hai.

READ :- Blogging Ke Liye Koun Hai Best -WordPress Or Blogger

READ :- Kya Blog Se Sach Me Paise Kamaye Ja Sakte Hai- Sach Ya Jhooth

3. Search Engine Traffic

Aapki CPC low Hai to iski vajah apka traffic bhi ho sakta hai AdSense social media se aayi traffic se jyada search engine se aayi traffic ko acchi CPC deta hai agar aapke blog par social media se traffic aa raha hai to apki CPC low ho sakti hai iske liye apko jyada se jyada traffic search Engine se increase karna chahiye isse apki CPC increase hoti hai.

READ :-Log Blogging Me Success Kyo Nahi Hote?

4. Post Title, Keyword, Quality Content

jaisa ki aap jante hai ki AdSense keyword ke hishab se CPC deta hai kuch keyword par jyada CPC hoti hai to kuch par low CPC hoti hai aapko cpc increase karni hai to aap high cpc wale keywords par hi article likhe isse apko better CPC milti hai

Apke blog post ka title accha hona jaruri hai ye SEO or CPC dono ke liye accha rahta hai or agar aap quality content nahi likhte to aapki CPC low ho sakti hai high CPC ke liye apko quality content likhne chahiye jaise ki aap per day 2 post karte ho to aap 2 din me ek hi post likhe par SEO friendly or quality wali post likhe.

READ :- Blog Start Karne Se Pahle Aapko Kya Karna Chahiye?

5. Don’t Use Too Many Ads

Kai blogger earning ke liye apne post me limit se jyada ads use karte hai isse unki CPC low hoti hi hai or sath me unke reader par bhi bad effect padta hai iske liye mera yahi suggesion hai ki ek post me ap 2 link ads use kare or 2 image ads hi use kare.

Kam ads lagane se blog loading speed increase hogi or CPC bhi badegi or aapke reader ko aapki post padhne me koi problem bhi nahi hogi.

Friends ye step follow kar ke ap bahut ashani se apne AdSense ki CPC ko increase kar sakte ho or ye tips bilkul safe hai isse apke AdSense ya blog par koi bad effect nahi padta. Iske alawa bhi adsense cpc bahut se important fact par depend karti hai but ye kuchh aise tip the jo normallly sabhi user ke liye ek jaise hote hai.

AdSense CPC se Judi kisi bhi problem ke liye aap hume comment kar sakte hai. I hope ki aapko hamari Adsense CPC se judi ye post AdSense CPC Badhane Ke Top 5 Tareeke Hindi Me pasand aayi hogi. aap hamri is post ko apne social media par apne friends se share jarur kare.

READ :- Pan Card Activate Hai Ya Nahi? Kaise Pata Kare

READ :- WordPress Blog Ko Fast Banane Ke Liye Optimize Kaise Kare

From Admin – agar aapke paas bhi koi aisi post hai jise aap hamare blog par publish karwana chahte hai to aap yaha click karke hamare Guest Post ke rule padh le aur aap apni post ko hame bheje. hum aapki post ko aapke name aur aapke blg ke address ke saath publish karenge.

Agar aap Is blog ki dusri Guest Post padhna chahte hai to aap yaha click kare.

23 thoughts on “AdSense CPC Badhane Ke Top 5 Tareeke Hindi Me – AdSense Guide”

  1. sir aapne adsense ke bare me bahot achchhe se bataya hai. muje aab jaankari mil gayi . thank you bhaiya

    Reply
  2. mera adsence account disable ho gaya invild actitvy from bhara nahi chalu ho sakta aisa mail aay ab maine new adsence banaya approval bhi mila ab kuch problem hogi kya ? adsence mere naam se tha

    Reply
  3. बहुत अच्छी जानकारी ।
    सर आप hindi से hinglish पर क्यो आ गये?
    मेरे ब्लॉग की cpc. 02 hi रहती है

    Reply
    • हिंदी में लिखना मुझे बहुत पसंद है इसके अलावा कोई कारण नहीं है

      Reply
  4. Boht hi achhi janakari di hai sir aapne, muze bhi aapke site par ek guest post karni hai iske liye kya kya Requirements hai wo aap bta dijiye ?

    Reply

Leave a comment