Namaskar Dosto, aap sabhi ka mere blog par ek baar fir se swagat hai. Aaj me aapko fir se ek android application ki jankari dunga jisse aap apne android mobile ko bina hath lagaye switch off kar sakte hai. Maan lijiye ki aapka Mobile kahi gayab ho jaye to aap kisi bhi mobile se sirf ek msg apne mobile me bheje aur use switch off kar de. Ye aapke mobile ki security ke liye bhi ek achha option hai because aaj kal ke sabhi mobile me humara personal Data Save hota hai aur hum ise kisi bhi haal me kisi se share nahi karna chahte. Switch Off Mobile
Agar aap bhi apne mobile ki security ko lekar savadhan hai to aap is application ko apne mobile me jarur install karke rakhe. Ye sirf kuchh KB ka ek majedaar app hai jiska name hai Remote Power Off. Ye application theek usi tarah se kam karti hai jis tarah se aapka TV ka remote kaam karta hai. Aapka Mobile chahe kahi bhi ho sirf aapko messege bhejna hai. Mobile ko switch off keise kita jata hai iski poori jankari aapko me is article me bataunga.
● whatsapp group ka link keise banaye
● internet banking account keise banaye
Sabse pahle aap yaha click karke apne mobile me Remote Power Off ke name se application Download kar le.
Is application ka use karne ke liye aapke mobile ka Root hona jaruri hai. Agar aapka Mobile root nahi hai to aap yaha click karke poori jankari padh sakte hai ki mobile ko bina computer ke root keise kiya jata hai aur root karne ke kya fayde hai.
● mp3 song me apni photo keise set kare
Download karne ke baad install kare. Agar aapka installation block hai to aap setting me security settings ko open karke Unknown sources ko tick kar de. Iske baad aapki application install ho jayegi.
Ab aap fir se setting me jakar unknown sources ko until kar de. Ye bhi humare android mobile ka ek SECURITY feature hota hai. Agar ise band nahi kiya jata hai to aapke mobile bina permission ke apps install hone lagte hai. Switch Off Mobile
● apne name ki ringtone download kare
● AdSense account keise banaye poori jankari padhe
Iske baad application ko open kare. Open karne ke baad aapka Mobile root hai to activate par tick lag jayega. Iske baad aap set password par click kare.
Set password wale option me old password me aap 1234 password lagaye aap chahe to option par click karke aap apna current password check kar sakte hai. Iske baad new password me apni pasand ka koi bhi 4 digit code enter kare. Iske baad fir se repeat wale me password set kare aur save kar de.
Ab aapka kaam poora ho gaya hai. Ab aap kisi bhi mobile se jo aapne password lagaya hai wo messege me type kare aur jo sim card us mobile me hai us number par send kar de. Jeise hi message send hoga aapka Mobile switch off ho jayega.
● Blog ko feedburner se keise jode
● blog keise banaya jata hai poori jankari padhe
Is tarah se aap aasani se apne android mobile ko bina haath lagaye hi switch off kar sakte hai. Meine aapko android rooting ke baare me pahle hi bataya tha agar aapne apne mobile ko root nahi kiya hai to kar le. Me aapko rooting ke baare me aur bhi bahut saari apps ki jaankari dunga. Root mobile ke apps bhi bahut shaandar hote hai jo aapne kaam kr bhi honge.
● Dreamindia250 se ghar beithe peise kamaye
I hope aapko meri aaj ki ye post ” Switch Off Mobile ” pasand aayi hogi. Aao apne feedback mujhe comment box me de sakte hai. Agar aapko ye post pasand aayi to aap ise social site par share jarur kare aur internet ki jankariyon ke liye mere saath isi tarah se jude rahe.
aapki encome kay he abhhi
Aap thoda wait kare me jald hi income report publish karne wala hu. Keep visiting hindistock