Google Duniya ka sabse bada search engine hai. Aap sabhi google ka use karte hai aur aap kya sabhi duniya ke log iska use karte hai. Lekin aap shayad jante hai ki google apni privacy ko lekar badnam hai. Aaj me aapko batata hu ki aap apni Google History ko online check keise kar sakte hai. Google par aap jo bhi karte hai wo sab record hota hai.
Jaha google ki ye service badnam hai wahi ek achhi baat ye bhi hai ki aapne google par pichhle time me kya kya kiya iska poora record aapko mil jata hai. Agar aapki device ko kisi aur ne use kiya jata hai to bhi aap pata laga sakte hai ki aapne kya kya dekha hai. Ye bilkul screen record karne wali apps ki tarah hi kaam karta hai. Bas itna fark hai ki isme video nahi banta lekin video se bhi jyada recording hoti hai. Aapki chhoti se chhoti Activity bhi mil jati hai. Ese me agar aap parents hai to aap apne bachho(child) par bhi najar rakh sakte hai ki unhone kya kuchh search kiya hai.
● apne name ki ringtone download kare
● Android mobile ko root kare bina computer ke
Google History
Google history se aapke dwara ki jane wali browsing ko dekh sakte hai. Agar aapne koi video dekha hai to uski full detail mil jayegi ki aapne kab aur kitne baje use play kiya tha aur jo video tha uska link bhi milega jisse aap use fir se dekh sakte hai. Sabse achhi baat ye hai ki aajkal voice search karne ka trend khoob chal raha hai agar aap bhi esa karte hai to wo bhi google record kar leta hai aur agar aap us aawaj ko sunna chahte hai to kabhi bhi play karke sun sakte hai. Aap agar chahe to apni poori history ko delete bhi kar sakte hai. Ye bhi ek important point hai. Aap time to time apni Google History ko delete karte rahe.
● internet banking account keise banaye
● mere blog ki pehli post jarur pade
Google history ko sirf aap hi dekh sakte hai iske alawa ise koi aur nahi dekh sakta. Aap bhi agar dekhna chahte hai to aapke paas apna gmail account hona chahiye. Kyonki bina login kiye koi bhi history show nahi hogi. Agar aapke paas hai to aap yaha click karke sabse pahle us tools par jaye aur apni gmail se login kare. Agar pahle se login hai to aapki history open ho jayegi. Ab aap apna poora record dekh sakte hai. Aapko jo bhi search karna hai aap kar sakte hai.
● dishtv bina recharge ke keise dekhe
● gmail me 2step verification enable keise kare
Google History Se Apni Voice Sune
Agar aap aapke dwara ki gayi voice search ko dekhna aur sunna chahte hai to sabse pahle search box par click kare iske baad play wale option par click karke search kar le. Aapki sabhi recording show ho jayegi. Usme se aapko jo achhi lage sun sakte hai. Aapko bata du ki ye aapki voice ko online store karne ka sabse achha jariya hai isliye aap ise delete na kare. Iske alawa aap agar delete karna chahte hai to un > : par click karke delete kar sakte hai.
Summary
Google history check karke aap apni aur apni family ki sabhi activity ko dekh sakte hai. Iske alawa agar aap google se apna data delete karna chahte hai to kar sakte hai lekin use band nahi kar sakte kyonki google aapki cookies ka use karta hai is karan sabhi type ki recording save ho jati hai. I hope meri ye post aapko google history delete karne me helpful hogi. Aap mere saath mere latest update lene ke liye isi tarah se jude rahe. Aap yaha click karke hindi stock ka official facebook page dekh aur like kar sakte hai. Aapko kisi tarah ka sawal jawab karna hai to comment box me puchh sakte hai. Mujhe aapki help karke khushi hogi.
Agar koi apni activity paused kr deta hai to usko kaise dekhe pls help
कर ही नही सकता कोई भी
Good job… Ache article likh rahe ho. Very appreciating
Hum google activity kitne time pehle ka dekh sakte hai
Maximum kitna time back ka record hum dekh sakte. Hai?
कोई लिमिट नहीँ है