Mujhe lagta hai ki meri aaj ki post me jo jankari hai uski jarurat har kisi ko hai. Android mobile me Data Recovery Apps bahut important hota hai. Aap agar Android ka use karte hai to aap jante hai aapke mobile me kam se kam 20-30GB data hota hai aur isme kab kya delete ho jaye kisi ko kuchh pata nahi chalta. Ese me ho sakta hai ki hamari kuchh important file ya picture ho jo galti se delete ho gayi hai lekin hum use recover karna chahte hai ese me hum agar kisi software se karte hai to pc ke liye free me koi available nahi hai. Lekin aap is data ko apne mobile se recover kar sakte hai.
Aaj me aapko poori jankari dunga ki aap apne mobile se data recover keise kar sakre hai. Jis android apps ki baat me kar raha hu wo bilkul free version me available hai aap jitna chahe data recover kar sakte hai. Lekin is problem se bachne ka ek rasta ye bhi hai ki aap apne android mobile me Recycle bin install kar le jisse aapko help milegi kyonki aapki sabhi file usme safe rahti hai. Agar aap ne esa nahi kiya hai aur aap recover karna chahte hai to aap meri is post ko padkar kar sakte hai.
Read also:-
● apne ATM pin online change keise kare
● mobile me live tv dekhe free me
Data Recovery Apps Se kya-kya recover ho sakta hai?
Jis apps ki baat me kar raha hu usse aap apne mobile se audio,video,image sabhi recover kar sakte hai. Iske saath saath agar aap apne whatsapp msg ko bhi recover karna chahte hai to wo bhi kar sakte hai. Me bahut time se all in one data recovery apps ki talash kar raha tha jo mujhe ab mil gayi hai. Is behatrin apps ka name GT Recovery hai jise aap yaha click karke download kar sakte hai. Aap is apps se apne facebook messenger ke apps recover kar sakte hai. Contact number, text file,wifi password sab kuchh recover ho sakta hai.
Read Also:-
● Android apps keise banaye aur publish kare
● apni music website keise banaye
Data Recover Keise Kare – Data Recovery Apps Se
Step:-1
GT Recovery Apps se data recover karne ke liye aapka mobile root hona chahiye. Root kya hota hai aur keise kiya jata hai iski jankari ke liye yaha click kare. Root karne ke baad aap apps ko open kare. open karne par aapka Dashboard khul jayega. Ab aap jo chahe recover kar sakte hai. Me yaha aapko Image Recover karke Batata hu.
Read this:-
● apne name ki ringtone Download Kare
Step:-2
Dashboard me recover file par click kare. Click karne ke baad aapko option milega ki aapko kya recover karna hai. Image par click karne ke baad next kar de. Ab ye aapki Device ko Analyse karega. Aapka mobile root hai to ok ka option aa jayega. Ab aap scan par click kar de.
Step:-3
Aapki device scan hone me thoda time lagega. Jab scan complete ho jayegi to aapke sabhi folder show ho jayenge. Unme se aapko kis folder se recover karna hai us par click kare aur open kare.
Read Also:-
● ek click se apna facebook account sabhi divice me logout kare
● kisi bhi computer software ki serial key download kare
Step:-4
Open karne ke baad aapki delete file show ho jayegi. Yaha par ho sakta hai ki undelete file bhi show ho. Aapko jo file recover karni hai us par click kare aur use apne External device me save kar de.
Last Word
I hope data recovery ki ye app aapko pasand aayegi. Mene bhi apna data recover kiya hai. Lekin free version hone ke karan kuchh file show nahi hoti hai lekin iska matlab ye nahi hai ki aap iska use nahi kar sakte. Free apps me ye sabse achhi app hai. Aap meri is post ko apne friend circule me share kare jisse unki bhi help ho sake aur meri bhi jisse mera bhi fayda hoga. Aap yaha click karke mere facebook page ko like kar sakte hai jisse aapko new update facebook par hi mil jayegi.