Airtel Internet Trick – 2G Ke Recharge Par 3G Internet Chlaye

Aapne Google par free Internet chlane ki bahut si trick dekhi hogi. Aur aapne bahut si try bhi ki hogi. Lekin lagbhag trick kaam nahi karti koi agar karti hai to har kisi Circle me kaam nahi karti. Aaj me aapko Airtel ki Internet Trick btaunga jisse aap Free me internet to nahi chala sakte par ha 2G ke recharge par 3G Speed se Net chala sakte hai.

 

Ye trick meine khud bnayi hai isliye aapko is post ke alaawa Google me kahin aur nahi milegi. Me khud pichhle 8 (eight) mahino se is trick ka istemaal kar rha hu aur ab tak koi problem nahi hai bahut achhe se work kar rhi hai. Mera manna hai ki ye airtel ke kisi server problem ke karan work karti hai nahi to esa namumkin hai ki aap 2G ka recharge karwaye aur aapke Mobile me 3G Internet chalne lge but jo bhi ho hme ye trick mil gayi hai aur ye hmare liye fayde ki baat hai. Is trick ko btane se pahle me aapko Airtel ka Ek bahut hi Achha offer btana chahta hu hme pahle uski jankari le leni chahiye.

● Bina Recharge Ke Dishtv Me Free Channal Keise Dekhe

Airtel New Internet Offer (3G/4G)

Abhi September ke shuru me Reliance jio ne free internet Dene ki ghosna ki thi to sabhi telicom Companiyo ne bhi apne Data Rate me kmi kar di. 14 September ko Airtel ki aur se Ek Offer diya gaya jisme aap 54/- me 1GB 3G/4G Data le sakte hai but iske liye aapko kuchh conditions apply karne honge. Aapko ye offer lene ke liye sabse pahle 1498 ka recharge karwana hoga jisme aapko 6GB 3G/4G Data milega iski Vailidity 28 Days ki hogi. Iske baad aap poore 12 Mahine tak 54 ka recharge karwaoge to aapko 1GB 4G data milega iski Vailidity 28 Din ki hogi.


Agar 28 Din se pahle aapka Data khatam ho jata hai to aap fir se 54 ka recharge karwa sakte hai. Iske saath saath agar aap 96 ka recharge karwate hai to Aapko 2GB, 265 ka recharge karwate hai to aapko 5GB Data milega wo bhi ek mahine ki Vailidity ke saath. Agar aap Rajasthan se Other Circle me hai to aap Retailer se offer Check karwa le because har Circle me iska Alag plan hai kisi me 1498 ka hai to kisi me 1499 ka aur kahin kahin 1503 ka bhi hai. To aap bhi is offer ka fayda le sakte hai.

● Ek Click Se Sabhi Whatsapp Group Me Msg Bheje

Airtel Me 2G ke Recharge Par 3G Internet Keise chlaye :-

2G ke Recharge par 3G internet chlane ke liye aapko apne mobile me kuchh Changes karne honge.

  1. Sabse pahle aap apne mobile me Setting>More>Mobile Network>preferred Network Me jaye.
  2. Isme aapko bahut sare number ki List Show hogi. Ye hmare Internet ki Location hoti hai ki humne kis-kis jagah internet chalya hai. Matlab Tower ki Location hoti hai.
  3. Ab aap ek ek karke in sabhi ko Delete kar De.
  4. Delete ho jane ke baad aap apne Mobile ko Switch Off kar de aur 5 Minute baad On kre.
  5. Ab aapne agar 2G ka recharge karwaya huaa hai to aapke Network me 3G ka Network aa jayega aur 3G internet chalne lgega.
  6. Agar 3G Network nahi aata hai to aapke Mobile me 3G ki Service band hai. Aap Setting>More>Mobile Network>3G Service Me jaye aur jis Sim me aapne Setting ki hai Us Sim Me 3G ki service Enable kar de.
  7. Iske baad aap Airtel Customer Care me Call kre aur apni 3G Service ki Service Activate karwa le. Aap chahe to aap khud bhi kar sakte hai.
  8. Messege Box me 3G type karke 121 par send kar de. Iske baad Reply aayega ki aapke Mobile me 3G Service Activate nahi hai 3G plan ke Liye 1 press karke uska Reply De.
  9. Uske baad Reply aayega aur aapke 3G ke plan aayenge aap 14 Number plan jisme Zero Rental 3G Service Likh hoga usko Activate kar le.
  10. Thodi Der baad aapko Reply aayega ki aapki 3G Service 30 Minute Me Activate kar di jayegi.
  11. 30 Minute baad apna Mobile Restart kar Le. Ab aapke mobile me 3G ka Network bhi aa jayega.
  12. All Done! Ab aap 2G ke recharge par 3G Internet chala sakte hai. Ab aap apne Browser ko open kre. Google me jaye aur www.hindistock.com Search kre.
  13. Aapki Browsing 3G ki speed Se hogi.

● Dreamindia250 Se Ghar Beithe Lakho kmaye 

Disadvantage

Is Trick me kuchh kamiya bhi hai jo aapko bta deta hu.

  1. Sabse pahli to ye ki ye ek trick hai isliye kabhi kabhi apne aap 3G chalte chalte 2G mode me aa jata hai. Agar esa ho jata hai to Aapko 3G ki service fir se activate karni hogi.
  2. Jaruri nahi hai ki esa har baar ho mere paas bhi kabhi kabhi ho jata hai but fir se apne aap 3G Mode me aa jata hai. Agar nahi aata hai to aapko Karna hoga.
  3. Aap agar Unlimited 2G ka recharge karwate hai to aapko sirf 2GB tak hi 3G ki speed milegi uske baad 3G ka Network to aayega lekin Speed 2G ko hi rhegi.
  4. Yadi kisi ke mobile me proffered network ka option nahi aata hai to ye trick us mobile me kaam nahi kregi.

Last Word

Meine pahle hi aapko bta diya hai ki ye trick meine khud bnayi hai isliye kisi aur ke paas nahi milegi. Me isko bahut time se use karta hu. Me kabhi 3G ka recharge nahi karwata. Mere paas sabhi sim card airtel ke hi hai isliye lagbhg kisi na kisi me 97 me 1GB 2G ka offer mil jata hai lekin me 97 me 1GB 3G hi Use karta hu. Kisi ke mobile me agar preferred network ka option nahi hai to ye kaam nahi karti kyonki fir service provider ko data kharch hone ki jankari mil jati hai aur use location ka pta hota hai isliye wo 3G ki Service Activate hi karte. Jyadatar China ke mobile me hi aapko preferred network ka option milega.

Admin Panel

To aap bhi is trick ko aajma kar dekhe agar aapko kisi tarah ki problem aati hai to aap comment box me mujhse puchh sakte hai. Mujhe aapki help karne me khushi hogi. Aap isi tarah se mere saath jude rhe mere Latest Update pane ke liye. Agar aap Facebook Se Mere Update lena chahte hai to mere saath facebook se jude. Milte hai ek aur nayi jankari ke saath.

9 thoughts on “Airtel Internet Trick – 2G Ke Recharge Par 3G Internet Chlaye”

  1. Very nice post bro. and i asked your only 1 question. mujhe google adsense se approval mil gaya hai but ab mujhe ek account se dono website par ads lagane hai to kaise lagaye . and dono email id same hai.

    Reply
    • Google Adsense Account में add website का option है वहां पर अपनी सभी साइट के यूआरएल सबमिट करके वेरीफाई कर दो उसके बाद आप उस साइट पर ad लगा सकते है।

      Reply
    • Aap shayad whatsapp par aane wali image ki baat kar rahe hai jisme click here likha hota hai. Aahil wo koi special image nahi hoti wo normal image hai bas uska size change karna hota hai aur beech me click here ka logo lagana hota hai. Aap kisi dusri image ka size dekhkar bana sakte hai. Aur aap koi achha se photo editior se image edit kar sakte hai.

      Reply

Leave a comment