Aap mere regular visitor hai to meine apni pichhli posto me bhi whatsapp ke baare me bataya tha. Social messenging ki Duniya me whatsapp ka name sabse pahle aata hai. Whatsapp ka use 1 million se bhi jyada user karte hai. Duniya me whatsapp ka use karne walo me India first number aata hai. Sabse jyada use isi country me hota hai. Isi category me whatsapp ne ab ek naye feature ko ad kiya hai jisse aap whatsapp Video Call ke name se janenge.
Aap bhi jante hai ki video call karne ke liye android ke liye bahut se apps hai jisme IMO ka name sabse pahle aata hai. Lekin ab jab se feature whatsapp par hi available ho gaya hai ti mere hisaab se un application par bahut effect padega. Because whatsapp bhi google ki tarah apne bejod feature ke liye jana jata hai.
● apne name ki ringtones download kare
● aadhar card ko apne bank se keise jode
Whatsapp Video Call Feature
Aap bhi agar whatsapp Video Call karna chahte hai to aapko jyada kuchh karne ki jarurat nahi hai. Bas aap Google Play store me jakar apna whatsapp update kar le. Aap chahe to yaha click karke bhi update kar sakte hai. Update ho jane ke baad aap jise bhi call karna chahe kar sakte hai. Video call karne ke liye aap call button par click kare. Ab aapke paas 2 option aayenge aapko video call wale par click karna hai.
● ab aapka mobile khud bolega ki me yaha hu janiye keise
● mobile ko hard reset karne ke 3 super tarike
Whatsapp Video Call Feature
Whatsapp se video call karne ke liye aapke friend ke paas bhi whatsapp update hona chahiye nahi to aap nahin kar sakte. To aap bhi apna whatsapp account abhi update kare aur apne Dosto se video call ka maza le. Whatsapp ne abhi pichhle dino bahut se changes kiye hai jeise aap ek click karke sabhi group me msg bhej sakte hai. Ye bhi ek bahut achha feature hai. Iske alawa bhi Whatsapp apne visitor ke liye bahut update karta hai isliye aap time to time whatsapp update karte rahe.