Pan Card Online Keise Apply Karte Hai – How To Apply Pan Card Online

Hello Friends. Aap sabhi ka aaj ki meri is post me swagat hai. aaj ki is post me hum baat karenge ki Pan Card Online Apply Keise Kiye jate hai. Pan card har kisi ke liye bhi bahut jaruri hai lekin India me bahut kam log hi pan card ke liye apply karte hai ya banwate hai. aap bhi shayad ye baat shayad achhi tarah se jante hai ki Pan card Income tax Department ke dwara banaye jate hai.

Pan Card (Permanant Account Number) aapka ek Different account number hota hai jo aapko Life me sirf ek baar hi diya jata hai aur poori life ke liye wo number vailid hita hai. Agar hum kisi Cyber cafe se pan card ke liye apply karte hai to aapko iske liye shayad 250-300 rupees py karne hote hai lekin aap agar yahi kaam apne level par karte hai to aapko sirf 112 rupees hi pay karne honge. aap aaj ki meri is post ko padhkar apne ghar par hi beithkar apna pan card apne ghar par hi mangwa sakte hai. aap jo bhi address apne pan card form me denge aapko pan card wahi par mil jayega. Income tax Department aapki is poori kaam ke liye 112 rupees fees leta hai. to aaiye jante hai ki pan card ke liye Online apply keise Karte hai.

 

Pan Card Online Apply Keise Karte Hai.

1. GUIDLINE

Step-1

Pan card apply karne ke liye sabse pahle aapko Income Tax Department ki Website par jana hoga. Yaha Click Kare us website par jaye. iske baad aap New Pan par click kare. Pan Card Online Keise banaye.Pan Card Online Registration

Step-2

Ab aap picture me dikhaye anusaar New pan par click kare agar aapka pahle se pan card bana huaa hai aur aap use fir se mangwana chahte hai to aap request new card par click karke fir se new farm fill kar sakte hai. me yaha naye pan card ke liye apply karne ka process bata raha hu lekin sabhi me process lagbhag same hi hota hai. Iske baad category me induvasual par click kare. Tiittle me apna Mr. ya jo bhi ho likhe. Ab applicant information me apni personal information fill kare aur submit kar de.

Step-3

Iske baad aapki computer screen par temprerry token number aa chuke hai ise note kar le aur aapne jo email diya hai us par bhi iski jankari aa chuki hai. aap chahe to waha par bhi dekh sakte hai. Ab aap fir se login kare Login karte hi aapka form open ho jayega ab pan card banane ka process start ho chuka hai. login karke apni jo bhi detail hai wo sab submit kar de.Pan Card Online Apply

Sabse pahle aap Submit scan image trought E-sign wale option par click kare iske baad aadhar card number jarur fill kare. aadhar ka option sirf Induvisual Ke liye hi hota hai. agar company ja hai to aap aadhar number na lagaye. iske baad parent name me apne father name ka select karke name type kare. yaad rakhe yahi name aapke pan card par print hota hai. saari detail fill karne ke baad aap save kar de aur next screen par jaye.

 

2. CONTACT AND OTHER DETAIL

Step-4

Ab isme aapko aapki contact detail deni hai. aap is step ko dhyan se bhare becausae aapka pan card isi address par aayega. Sabse pahle Source of income me NO INCOME select kare iske baad Address type me office ya home/job ka address select kare. Last me apna complete address fill kare. Iske baad mobile number aur email dale. reprsentative address me no karke save kar de aur next window me jaye. Pan Card Online.Pan Card Online contact detail

3. AO DETAIL

Step-5

AO Detail aapki location par depend karti hai. yaha par aapko uski detail fill karni hai jis area me aap rahte hai. aap apne najdik ke income tax department ki detail yaha submit kare. agar aapko AO detail nahi pata to aap is form me neeche diye gaye option ka use karke apni detail bhar sakte hai. aap yaha detai bharne ke baad save karke next par click kare.Pan Card Online AO Detail

4. DOCUMENT DETAIL

Step-6

Ye step important hai. hume yaha par apni documents ki detail deni hai aur apne document upload karne hai. sabse pahle Id proof ke liye document select kare iske baad address proof ke liye document aur last me date of birth ke liye document select kare. iske baad Diclaration form me apna name likhe capacity of me her/himself select kare place me jaha se aap apply kar rahe hai wo jagah type kare. ab aap apni passport size photo aur signature upload kare. last me aapne upar jo document select kiye hai wo sab document ki ek pdf file banakar upload kar de. ap aapka form bharne ka kaam complete ho chuka hai. ab aap iski payment kar sakte hai. aapka pan card 15-20 dino me aapke bataye gaye pate par aa jayega.Pan Card Online Docs Detail

 

CALCULATION

Pan Card har kisi ke liye ek bahut jaruri documents me se ek hai. aaj india cashless ki aur ja raha hai ese me aapko bhi chahiye ki aap bhi pan card ka use karke aur Time par tax bharke india ki tarakki me appna yogdaan de. I hope aapko meri aaj ki ye post Pan Card Online Keise banaye jate hai pasand aayi hogi. agar aapko pan card ke farm bharne me koi pareshaani aa rahi hai to aap comment box ka use karke mujhse help le sakte hai. mujhe aapki help karne me bahut khushi hogi.

12 thoughts on “Pan Card Online Keise Apply Karte Hai – How To Apply Pan Card Online”

    • उसके परिवार में किसी का पैन कार्ड बना होना चाहिए और उसकी कॉपी साथ मे जाती है । नाबालिक और उसके परिवार में जिसका पैन कार्ड बना हो उन दोनों के डॉक्यूमेंट सेल्फ अटेस्टेड करके भेज दीजिये।

      Reply
  1. Sir maine ekyc dwara pan card apply to kar diya hai kintu usme signatura nahi dikh raha hai.
    Batayen main kya karun.

    Reply
    • individual के बाद जो option आता है जिसमे फर्म लिखा है उसको सेलेक्ट कर ले और apply कर दे।

      Reply
  2. पेन कार्ड मे आधार अथेन्टिकेट के अलावा जो भी तरीके हैं वो फुल गाइड करें कि किस किस तरीके से और कैसे पेन कार्ड बनायें

    Reply
    • शुक्रिया आलोक, मैं कोशिश करूंगा कि आपको पूरी जानकारी उपलब्ध करवाऊ लेकिन आपको अगर किसी तरह की कोई प्रॉब्लम आती है तो आप comment box में पूछ सकते है।
      feedback के लिये शुक्रिया

      Reply
  3. Very nice article on PAN card ……..Share करने के लिए धन्यवाद। 🙂 🙂

    Reply

Leave a comment