Google Analytics Account Keise Banaye (Blog Ko Analyze Kare)

Agar aap WordPress par blogging karte hai to aap apne blog ko Analysis karne ke liye jetpack plugins ka use kar sakte hai. Isse aapko apni website ki poori Detail mil jayegi ki kitne pageview huye hai. Aapki website se related sabhi article me se kitne pade ja chuke hai lekin agar hum blogger par blogging karte hai to aapko Google Analytics ki help leni padegi.

 

Google Analytics Kya Hai?

Yah Google ki taraf se ek free service hai isse hum apni website ko analyze kar sakte hai. Hum pata kar sakte hai ki abhi hamari website par kitne visitor online hai aur jo visitor online hai wo kis page par hai ya kisi page ko pad rahe hai. Iske alawa hum yah bhi pata kar sakte hai ki kounsa visitor kaha se aaya hai aur kitni der tak hamari website par rukta hai. Kitne page read karne ke baad close kiya.

● ATM Pin Online Change Keise Kare

● Apne Name Ki Ringtone Download Kare Free Me 

Aap har 3 hours ki report le sakte hai ki in 3 hours me kitne visitor aaye sabse jyada kis time online the. In sab topic ko Dekhne ke baad hume website par kya kami hai isko keise door kiya jaye ye sab pata kar sakte hai. To har blogger ke liye yah jaruri hai aur har blogger iska use karta hai. Agar aap naye blogger hai to aap bhi ye account bana le jisse aapko help milgi.

● AdSense Account Keise Banaye

Google Analytics Account Keise Banaye

Google Analytics Account banane ke liye aapke paas Gmail Account hona chahiye yaha me aapko bata du ki agar aap Google Analytics ko WordPress ya blogger se Connect karna chahte hai to aap usi Gmail se login kare jisse aapne apna blog bnaya hai. Isse aapko aage problem nahi hogi.

● Gmail Me 2Step Verification Keise On Kare (Security Tips)

Step:-1

Aap sabse pahle Yaha Click Karke Analytics site par jaye. Iske baad Sign up par click karke apni Gmail se login kare.

Step:-2

After Login aapko new account me apni Website Ki Detail deni hai aap poori detail likhkar submit kar de.

  • Account name- apna name likhe.
  • Website name – apni website ya blog ka tittle likhe. Example- Hindistock
  • Website Url- apni website ka url type kare. Example- www.hindistock.com
  • Industry – isme blog ka option hai use select kare.
  • Time zone – +5.30 kolkata select kare.

● mp3 song me apni picture keise lagaye

● apne Android mobile ko root keise kare

Step:-3

Ab aap Detail ko check karne ke baad submit par click kare. Submit karte hi aapka account open ho jayega. Ab Dashboard par aapki traking I’d aa gayi hai aap use note kar sakte hai.

All Done! Aap kuchh time ka wait kare. Aapki apni website ki poori detail show hone lag jayegi.

● whatsapp group ka link keise banaya jata hai?

Google Analytics Ko WordPress Se Connect Keise Kare

Google Analytics ko WordPress se connect karna bahut Easy hai. Iske liye aap sabse pahle plugins par jaye. Add new par click kare. Ab search box me Google Analytics type karke search kar le aur install karke activate kar le.

Activate hone ke baad Dashboard me Setting par click karke Google Analytics par click kare.

Ab jo aapki traking I’d hai use yaha is box me copy karke save kar De. Save karte hi ye connect ho jata hai ab aap apni site ko analyze kar sakte hai.

Last Word

Ye ek google ki free service hai aur me google ki har service ko bahut hi kaam ki aur behatrin manta hu. Aap is account se apni website ki chhoti se chhoti Janakri ko dekh sakte hai. Ye hamari website ko maintain karne me sabse jyada help karti hai. Isse hum check kar sakte hai ki hum kahin koi galti to nahi kar rahe hai aur agar kar rahe hai to kis page par aur kahan kar rahe hai. Iske baad hum us galti ko sudhaar sakte hai.

● Internet se ghar beithe peise kamaye

● bina recharge ke Dishtv me free channal dekhe

Last Word

Agar aap WordPress par hai to aap jetpack ka use kar sakte hai lekin usme itni detail nahi hoti jitni isme hoti hai. Aap usme apni website ka poora data dekh sakte hai lekin kitne user online hai iski detail nahi le sakte. Isliye agar aap WordPress par hai to aap is account ka bhi use kare aur internet ki jankariyo ke liye aap mere saath isi tarah se jude rahe. aapko ye post keisi lagi mujhe jarur bataye.

1 thought on “Google Analytics Account Keise Banaye (Blog Ko Analyze Kare)”

Leave a comment