Adsense Me Address Verify Keise Karte Hai. Verify Your Address In 2 Minute

Hello Everyone. Google Adsense wali post me aapka ek baar fir se swagat hai. Meine aapko Adsense se related bahut si post ki hai. aaj ki post ki baat ki jaye to aaj ki ye post new blogger ke liye special hai. aap agar meri ye post padh rahe hai to aapka adsense bhi approve ho chuka hai aur aapki adsense income 10 dollor se jyada ho chuki hai. jab adsense me 10 dollor ho jate hai adsense par hume address verify karna hota hai ye ek important step hai jab tak adsense address verify nahi hota tab tak adsense se hume payment nahi milti. to aaj ki is post me aapko jankari dunga ki adsense address verify keise karte hai.

adsense address verify karna koi mushkil kaam nahi hai. jeisa ki meine pahle bhi bataya hai ki 10 dollor hone par adsense account verify hota hai. jab aapne adsense ke liye apply kiya tha us time me bhi shayad aapne apna adsense me addrerss bhi diya tha lekin kayi baar jab hum kabhi nayi cheej dekhte hai to uske baare me hame jyada knowledge bhi nahi hoti isliye ho sakta hai ki aapne us time apna address sahi na likha ho isliye aapke liye ye jaruri ho jata hai ki sabse pahle aap achhe se apna address check kar le ki kya sab kuchh sahi hai. to sabse pahle aapko wahi bata hoo ki adsense ki account ki setting keise karte hai.

Adsense Address Verify Keise Karte Hai

Step-1

Adsense account ki setting karne ke liye sabse pahle aap picture me dikhaye anusaar aap Homepage me payment par click kare aur uske baad account setting open kare. See picture Below.Adsense Address Verify Keise Karte Hai account setting page.

Step-2

Iske baad yaha Name Aur Address Ka option hai. isme setting option me manage par click kare. ab  aap isme se check kar le ki aapka address sahi hai. agar koi usme change karna hai to aap edit option me jakar change kar le aur fir save kar le.Adsense Address Verify Keise Karte Hai manage setting

Step-3

Ab aapki sabhi setting save ho chuki hai. ab aapka address setting ho chuka hai. ab me ye maan leta hoo ki aapka adsense pin aapke dwara diye gaye address par aa chuka hai. ab hum apna adsense pin verify karenge. iske liye aap adsense pin nikale jo aapko post office se mila hai. yaha dhyan dene wale baat hai ki agar aapne 3 baar wrong pin laga diya to aapka adsense account suspend ho jayega isliye ye setting carefully kare.

Step-4

ab jab aap apna adsense account login karenge to kuchh esa likha hoga.”your payment is currently hold because you have not verify your address” iske theek aage Action Likha hoga aap us par click kare.Adsense Address Verify Keise Karte Hai Actiion Button

Step-5

ab aapki Pin Verification Window Open ho chuki hai. aapke paas jo pin aaye hai use aap yaha is box me paste kar de aur submit kar de.Adsense Address Verify Keise Karte Hai submit pin

At last aapka Pin Verify ho chuka hai. ab next window me aap apni pesonal setting kar sakte hai. aapka adsense ab earning ke liye ready hai. ab aapka blogging career bhi start ho chuka hai. so aap bhi ab blogging ka maza le aur earning kare.

Final Word

Adsense Address Verify Keise Karte Hai mere hisaab se ye koi bahut bada sawaal nahi hai aur jab tak aapke adsense me 1 dollor hote hai tab tak aap adsense ke baare me sab kuchh achhi tarah se janne lagte  hai. Adsense har blogger ka ek Dream hota hai aur Verification hone ke baad aap adsense ke parter ban jate hai. Aapko meri aaj ki ye post kesi lagi mujhe jarur bataye aur meri is post ko apne friend circle me share jarur kare. baaki internet ki jankariyo ke liye mere saath jude rahe. aap agar facebook ka use karte hai to aap yaha click karke mere official facebook page ko like kar sakte hai. aap agar twitter ka use karte hai to aap yaha click karke mujhe follow kar sakte hai.

32 thoughts on “Adsense Me Address Verify Keise Karte Hai. Verify Your Address In 2 Minute”

  1. Mera $10 5 din pehle hua hai but AdSense account me Nahi dikha Raha hai lekin mere pass Jo YouTube studio app hai usme dikha Raha hai esa kyu

    Reply
  2. sir mera kal Ka earning abhi tak Nahi hai es se pehle 6 am se 8am me aa jata tha par aaj abhi tak kyo Nahi Aaya hai

    Reply
    • हो जायेगा
      आपने अभी जो account लगाया हुआ है उसे डिलीट कर दे डिलीट करने से पहले आप कोई और account लगा ले नहीं तो वो डिलीट नहीं होगा
      इसके बाद आप इस account को प्राइमरी account बना दे जो अभी लगाया है और पहले वाले को डिलीट कर दे
      at last आप फिर से सही account add करे और use प्राइमरी बना ले

      Reply
  3. Adsense address के ऊपर बहुत ही बढ़िया article लिखा है आपने। … Thanks for sharing this!! 🙂

    Reply

Leave a comment