Aadhar Card Ke baare me aap sabhi achhi tarah se jante hai. Pichhle time me aadhar Card ke liye ek special shuruat ki gayi thi jisme har kisi ko card banwana jaruri hai. Agar aapne ab tak nahi banwaya hai to aap aaj hi najdik ke enrollment center me jakar banwa sakte hai aur ye bilkul free seva hai. Ye har kisi ke liye bahut jaruri hai.
Jaha aadhar Card banwane ki baat hai to jab inko banaya gaya tha to isme bahut si galti baaki thi. Agar aapke aadhar Card me koi galti hai to aap use online sahi kar sakte hai wo bhi bina kisi enrollment center par jaye. Aaj me aapko bataunga ki aap ghar beithe apna card update keise kar sakte hai. Iske liye aapka Mobile number registered hona chahiye. Agar nahi hai to ap nahi kar sakte fir aapko enrollment center par hi jana hoga. Jo tarika aapko me bata raha hu usse aap apni photo ke alawa sab kuchh change kar sakte hai. Ye aapka bahut sa time bachayega.
● meine apna adsense keise approve karwaya full story
● apne name ki ringtone download Kare
Aadhar Card Download Keise Kare
Agar aapka aadhar Card bana huaa hai aur aap use download karna chahte hai to aap uski pdf file download kar sakte hai jiska print out niklwa sakte hai. Adhar card download karne ke liye sabse pahle aap yaha click kare.
Iske baad aapke paas agar enrollment slip hai hai to aap uski poori detail fill kare. Agar aapko aapke card number ka para hai to UID wale par Click kare aur apni UID enter kare. Iske baad submit kare. Ab aapke registered mobile number par One time password aayega. Use enter kare aur Download kar le.
Download karne ke baad jab ise open karte hai to aapse password puchhega. Aap apne pin code enter kare aapka Card open ho jayega.
● 8000₹ ka mobile 501₹ me keise kharide
● free me website keise banaye blogger par
Aadhar Card Update Keise Kare
Step-1
Sabse pahle aap yaha click karke update karne wali website par jaye.
Step-2
Iske baad yaha par aap apna adhar card number enter kare iske baad neeche wale box me captacha code lagaye. Iske baad send OTP pae click kare. Ab aapke registered mobile par jo otp aayega use verify karke login kare.
Login karne ke baad aapka Dashboard open ho jayega. Ab aapko kya change karna hai un sabhi par click kare. Agar poori detail change karni hai to sabhi ko tick karke submit kar de. Yaha par me apna name change kar raha hu.
Ab agli screen par apna name jo change karna chahte hai wo likhe. Aur submit kare.
● Android mobile ke liye best video editing apps download kare
● dishtv bina recharge ke keise dekhe
Iske baad aapko apna I’d proof dena hai. Isme bahut se option milenge. Aapke paas jo bhi available hai usko select karke upload kar de.
Agli screen me aapko 2 option milenge. Aapko jis service provider se apna card update karwana hai usko select kare. Me yaha aapko suggest karunga ki aap karvat ki service select kare. Ye sirf kuchh hours me hi update kar deta hai. Aap karvay par click karne ke baad submit kar de.
All Done! Aapka aadhar update ho chuka hai aapke mobile par utr number bhi aa jate hai jinka use aap status dekhne ke liye kar sakte hai. Aap inhe future reference ke liye rakh skate hai.
● mp3 song me apni photo keise lagaye
● online transaction ke liye net banking keise start kare
Post Summary
Is tarah se self update karne se aapka bahut sa time bach jata hai. Sabse jyada use iska mobile number update karne ke liye kiya jata hai. Agar aap mobile number update karna chahte hai to aapko koi document upload karne ki jarurat nahi hai. Isi tarah se gmail change karne ke liye aapko proof dene ki jarurat nahi hai. Aap kitni baar bhi change kar sakte hai iski koi limit nahi hai. Agar aapka Mobile number registered nahi hai to aap iske liye offline update bhi kar sakte hai. Iske liye aap SSUP ke homepage par jakar offline farm download kar sakte hai.
● Android mobile ko root keise kiya jata hai bina computer ke
I hope meri aaj ki aadhar Card Download aur update karne ki post pasand aayi hogi. Aap is post ko apne friend circle ne jarur share kare air mere saath isi tarah sw jude rahe yaha click karke facebook par.
nice
Tick lagane wale place me sirf mera address update karne ka Hi option aa rha h….mai kya karu??
आधार कार्ड में अब आप सिर्फ address ही बदल सकते है इसके अलावा आपको जो भी editing करवानी है उसके लिये पास के किसी enrollment center में जाना होगा
sir mene aadhar update karvya tha lekin kuchh galti update me ho gai online sudhar btae sirf abhi update ko 2din huye h
कोई बात नहीं आप थोडा इन्तजार करे जब आपका आधार कार्ड अपडेट हो जाए तो आप फिर से एक बार online अपडेट कर ले हो जायेगा| आधार कार्ड अपडेट करने की कोई लिमिट नहीं है|