Hello Everyone, aap sabhi ka meri aaj ki is post me swagat hai. Meine pahle bhi post me whatsapp ke baare me kafi kuchh bataya hai because lagbhag sabhi user ke mobile me whatsapp install jarur hoga. Whatsapp ka use hum social measenging ke alawa promotion ke liye bhi kar sakte hai aur bahut se user karte bhi hai. Aapne google par bhi whatsapp se peise kamane ki post padhi hogi lekin me aaj aapko usse kuchh alag batane wala hu. Aaj me is post me bataunga ki aap whatsapp cool font ka use Keise kar sakte hai.
Aapke paas agar android mobile hai aur aap uske default font ko change karna chahte hai to aap yaha click karke poori jankari pad sakte hai ki android me font change Keise kiya jata hai. Lekin me aapko cool font ke bare me bata raha hu. Meine in font ko cool font isliye bola hai kyonki ye font only whatsapp ke liye hi use kiye ja sakte hai. Iske alawa aap inka use kahi nahi kar sakte.
● ek click se sabhi facebook group me post kare
● apne aadhar card ko bank se link keise kare
Aapne whatsapp par kabhi esi post bhi dekhi hogi jisme font kuchh ajeeb colour ke hote hai. Matlab ki ese font jo aapke mobile me install hi nahi hote lekin fir bhi wo show hote hai. For example- kabhi kabhi whatsapp par blue colour ke font use kiye jate hai. Ese font dekhne me bahut hi beautiful hote hai lekin whatsapp ki officiel application me iska koi feature nahi hota hai isliye in font ko kisi extra application ki help se development kiye jate hai.
● android mobile ki screen record keise kare
● android mobile me notification bar ko beautiful keise banaye
Whatsapp Cool Font
Aaj me aapko android application dunga jisse aap bhi whatsapp me beautiful messege create karke send kar sakte hai. Is application ko aap yaha click karke install kar sakte hai. Is application ko samjhna ya samjhane wali koi baat nahi bas aapko application ko open karke jo bhi messege likhna hai use create kare aur send kar de aapka messege alag font ke saath send ho jayega.
Iske alawa aap isme blue colour ke font use karne ke saath saath 19 different font ka use bhi kar sakte hai. Ye font aapko whatsapp ki official application me nahi milenge to aap apni post ko design karne ke liye in font ka use kar sakte hai.
● android mobile se peise kamaye
● biomileger aapke bike ke liye useful product
My Loving Whatsapp Cool Font
Iske alawa agar aap whatsapp par Loving font ka use karna chahte hai to ye application aapke liye sabse best ho sakti hai. Is application me aapko 50 se jyada loving font milenge jisse aap apne whatsapp post ko quickly Design kar sakte hai. In font ko Loving Font isliye kaha jata hai because isme sabhi font ko Loving messege send karne ke liye design kiya gaya hai. Whatsapp Loving Font Application ko aap yaha click karke Download kar sakte hai.
● mobile me live TV keise dekhe
I hope aapko meri ye dono application pasand aayegi jisse aap apne whatsapp cool font ka use karke best design kar sakte hai. Aapko meri ye post kesi lagi apne feedback aap comment box me de sakte hai. Aap meri is post ko apne social media par share jarur kare.