Blog Ki Sabhi Post Ek Page Par Keise Dikhaye (WordPress Blog)

Agar aap WordPress par blogging karte hai to aapko meri ye post pasand aayegi. Aksar dekha gaya hai ki WordPress me sabhi Post ko ek jagah show karna ek mushkil kaam hai. Blogger par to aapko bahut se code mil jayenge lekin wordpress me esa nahi hota hai. Aaj me aapko bataunga ki aap all post ka option WordPress blog me Keise laga sakte hai.

Aap apne footer me sabhi page ko show karne ke baare me pad chuke honge. In sabke baad all post ka page bhi jaruri ho jata hai kyonki isme hamare blog ki sabhi link hoti hai aur sitemap ko blog par lagana kitna jaruri hai adsense ke liye ye bhi aap jante hai.

● feedburner account keise banaye

● apna free me blog keise banaye

WordPress me sabhi post ko ek page par show karne ke liye me plugins ka use karta hu. Aap bhi plugin ka use karke kar skate hai. Iske baad aapki sabhi Post show hone lag jayegi.

All Post Ek Jagah Show keise kare

Step:-1

Sabse pahle aap WordPress blog login kare. Login karne ke baad Plugins par click kare iske baad Add New par click kare.

All post ek page par dikhayeStep:-2

Ab search box me Hierarchical HTML Sitemap likhkar search kare. Ab is plugins ko install karke active kar le. Aap Dashboard se hi download kare.

All post ek page par dikhayeStep:-3

Ab aap wapis Dashboard me aakar page par click karke new page banaye. Page tittle me apna koi tittle de. Lagbhag sabhi blogger All Post hi tittle likhte hai. Aap bhi likh sakte hai. Iske baad photo ke anusar visual par click kare aur neeche diya huaa code paste kar de.

htmlmap show pages

All post ek page par dikhayeStep:-4

Ab koi purani Date dalkar use publish kar de. Aapki sabhi Post ek jagah show hone lag jayegi.

Step:-5

Agar aapki website par page show nahin ho raha hai to iska matlab ki aapne apne page website par nahi laga rakhe hai. Iske liye aap widget me jakar kisi bhi jagah par page laga sakte hai.

● adsense account keise banaye

● youtube channal keise banaye aur peise kamaye

Agar aap ribbon theme ka use karte hai to use customize Keise kar sakte hai iski jaankari aap yaha click karke pad sakte hai. Ribbon theme ko customize karna bahut hi aasan hai aur page ki link lagana bhi easy hai. Iske alawa aap agar kisi aur theme ka use karte hai to apko theme ko edit karna aana chahiye. Me suggest karunga ki aap bina knowledge ke theme ko edit na kare because isse aapki theme ka disign bigad jayega jisse kaafi pareshani ho sakti hai.

● music website keise banayi jati hai

● bio mileger ke baare me poori jankari pade

Post Summary

Sabhi Post ko ek jagah par dikhana bahut hi important hai. All Post page ka use karke humare sabhi visitor ek jagah hi sabhi link dekh sakte hai. Aap shayad maane ya na maane Bounce rate kam karne ke liye ye bahut jaruri hai. Agar aapki website ka traffic low hai to isse traffic bhi bad jayega kyonki visitor ke paas bahut si choice hoti hai jisme se ho sakta hai ki usko wo link us page par hi mil jaye. Agar aap is plugins ka use karte hai to aapko website par alag se sitemap lagane ki jarurat nahi hogi kyonki ye ek sitemap hi hai jo HTML me nahi hai. I hope aapko meri ye jankari pasand aayi hogi. Aap mere saath isi tarah se jude rahe internet ki jankariyon ke liye.

4 thoughts on “Blog Ki Sabhi Post Ek Page Par Keise Dikhaye (WordPress Blog)”

Leave a comment